jis dil mein tera ghar na ho wo dil KHarab hai
jis dil meñ tirā ghar na ho vo dil ḳharāb hai
jo dil hai mahv-e-yād vahī kāmyāb hai
har shai meñ go hai us kī tajallī ayaañ magar
ye ġhāyat-e-zuhūr ḳhud us kā hijāb hai
hai misl-e-āftāb ayaañ bhī nihāñ bhī hai
aariz par tere fart-e-tajallī naqāb hai
ham meñ vo jalva-gar hai magar dekheñ kis tarah
apnā vajūd hī to sarāsar hijāb hai
jis dil mein tera ghar na ho wo dil KHarab hai
jo dil hai mahw-e-yaad wahi kaamyab hai
har shai mein go hai us ki tajalli ayan magar
ye ghayat-e-zuhur KHud us ka hijab hai
hai misl-e-aftab ayan bhi nihan bhi hai
aariz par tere fart-e-tajalli naqab hai
hum mein wo jalwa-gar hai magar dekhen kis tarah
apna wajud hi to sarasar hijab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.