jis din tum aa ke humse ham-āġhosh ho gae
jis din tum aa ke ham se ham-āġhosh ho ga.e
shikve jo dil meñ the so farāmosh ho ga.e
saaqī nahīñ hai sāġhar-e-mai kī hameñ talab
āñkheñ hī terī dekh ke behosh ho ga.e
sunñe ko husn-e-yār kī ḳhūbī ba-rañg-e-gul
a.azā mire badan ke sabhī gosh ho ga.e
karte the apne husn kī tārīf gul-ruḳhāñ
us lāla-rū ko dekh ke ḳhāmosh ho ga.e
ai jaan dekhte hī mujhe duur se tum aaj
ye kaun sī adā thī ki rū-posh ho ga.e
rahte the be-hijāb mire paas jin dinoñ
ve roz haa.e tum ko farāmosh ho ga.e
duniyā o diin kī na rahī ham ko kuchh ḳhabar
hote hī us ke sāmne behosh ho ga.e
'bedār' bas-ki ro.e ham us gul kī yaad meñ
sar-tā-qadam sarishk se gul-posh ho ga.e
jis din tum aa ke hum se ham-āġhosh ho gae
shikwe jo dil meñ the so farāmosh ho gae
saqī nahīñ hai sāġhar-e-mai kī hameñ talab
āñkheñ hī terī dekh ke behosh ho gae
sunñe ko husn-e-yār kī ḳhūbī ba-rañg-e-gul
aazā mere badan ke sabhī gosh ho gae
karte the apne husn kī tārīf gul-ruḳhāñ
us lāla-rū ko dekh ke ḳhāmosh ho gae
ai jaan dekhte hī mujhe dur se tum aaj
ye kaun sī adā thī ki rū-posh ho gae
rahte the be-hijāb mere pas jin dinoñ
we roz hae tum ko farāmosh ho gae
duniyā o din kī na rahī hum ko kuchh ḳhabar
hote hī us ke sāmne behosh ho gae
'bedār' bas-ki roe hum us gul kī yaad meñ
sar-tā-qadam sarishk se gul-posh ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.