jis ko dekho wo nazar aata hai diwana tera
jis ko dekho vo nazar aatā hai dīvāna tirā
vaah kyā andāz hai ai chashm-e-masatāna tirā
ai hasīñ jalva hai har-sū be-hijābāna tirā
zarra zarra kah rahā hai mujh se afsāna tirā
gul tire gulshan hai terā sab bahāreñ haiñ terī
āshiyān-o-barq sab kahte haiñ afsāna tirā
lutf us kā hai ḳhumār us kā hai mastī us kī hai
pī liyā jis ne azal ke rose paimāna tirā
ab kamī kyā hai mire saaqī pilā.e jā mujhe
shīsha terā mai tirī hai jām-o-mai-ḳhāna tirā
tū ne kuchh aisī pilā.ī ai nigāh-e-chashm-e-dost
roz-e-avval se tirā 'qaisar' hai mastāna tirā
jis ko dekho wo nazar aata hai diwana tera
wah kya andaz hai ai chashm-e-masatana tera
ai hasin jalwa hai har-su be-hijabana tera
zarra zarra kah raha hai mujh se afsana tera
gul tere gulshan hai tera sab bahaaren hain teri
aashiyan-o-barq sab kahte hain afsana tera
lutf us ka hai KHumar us ka hai masti us ki hai
pi liya jis ne azal ke rose paimana tera
ab kami kya hai mere saqi pilae ja mujhe
shisha tera mai teri hai jam-o-mai-KHana tera
tu ne kuchh aisi pilai ai nigah-e-chashm-e-dost
roz-e-awwal se tera 'qaisar' hai mastana tera
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 208)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.