jis ne ai rashk-e-pari tujhko na dekha hoga
jis ne ai rashk-e-parī tujh ko na dekhā hogā
aadmī ho ki malak aañkh kā andhā hogā
kī nazar apnī haqīqat pe to sābit ye huā
ye vahī qatra hai ik roz jo dariyā hogā
naqsh agar hai to hai naqqāsh kā honā bhī zarūr
anjuman hai to koi anjuman-ārā hogā
dekh kar ham tujhe āñkhoñ ko to ḳhūgar kar leñ
sunte haiñ hashr meñ dīdār ḳhudā kā hogā
ne.amat-e-faqr kī lazzat kuchh usī se pūchho
sāhab-e-faqr ko jis ne kabhī dekhā hogā
sair dikhlā.egī tāsīr-e-mohabbat pas-e-marg
qabr par merī parī-zādoñ kā melā hogā
aa gayā teġh-ba-kaf vo mirā qātil 'akbar'
aaj to mere taḌapne kā tamāsha hogā
jis ne ai rashk-e-pari tujh ko na dekha hoga
aadmi ho ki malak aankh ka andha hoga
ki nazar apni haqiqat pe to sabit ye hua
ye wahi qatra hai ek roz jo dariya hoga
naqsh agar hai to hai naqqash ka hona bhi zarur
anjuman hai to koi anjuman-ara hoga
dekh kar hum tujhe aankhon ko to KHugar kar len
sunte hain hashr mein didar KHuda ka hoga
neamat-e-faqr ki lazzat kuchh usi se puchho
sahab-e-faqr ko jis ne kabhi dekha hoga
sair dikhlaegi tasir-e-mohabbat pas-e-marg
qabr par meri pari-zadon ka mela hoga
aa gaya tegh-ba-kaf wo mera qatil 'akbar'
aaj to mere taDapne ka tamasha hoga
- Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 94)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.