jis par mere sanam ki nazar ho ke rah gai
jis par mire sanam kī nazar ho ke rah ga.ī
duniyā hī us kī zer-o-zabar ho ke rah ga.ī
dair-o-haram kī raah batāo na ab mujhe
mirī jabīñ to yaar kā dar ho ke rah ga.ī
kaisī kaTī ye raat kisī ko ḳhabar nahīñ
zikr-e-sanam meñ aaj sahr ho ke rah ga.ī
bismil koī huā koī dīvāna ho gayā
un kī nigāh-e-nāz jidhar ho ke rah ga.ī
josh-e-junūñ meñ aatā rahā yaar kā ḳhayāl
dīvāngī meñ raat basar ho ke rah ga.ī
mujh ko ḳhayāl-e-yār ne pahuñchā diyā kahāñ
har chiiz merī gard safar ho ke rah ga.ī
royā jo un kī yaad meñ dil thaam kar 'fanā'
aañsū kī būñd-būñd guhar ho ke rah ga.ī
jis par mere sanam ki nazar ho ke rah gai
duniya hi us ki zer-o-zabar ho ke rah gai
dair-o-haram ki rah batao na ab mujhe
meri jabin to yar ka dar ho ke rah gai
kaisi kaTi ye raat kisi ko KHabar nahin
zikr-e-sanam mein aaj sahr ho ke rah gai
bismil koi hua koi diwana ho gaya
un ki nigah-e-naz jidhar ho ke rah gai
josh-e-junun mein aata raha yar ka KHayal
diwangi mein raat basar ho ke rah gai
mujh ko KHayal-e-yar ne pahuncha diya kahan
har chiz meri gard safar ho ke rah gai
roya jo un ki yaad mein dil tham kar 'fana'
aansu ki bund-bund guhar ho ke rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.