jis tarah diwana ai dil tu hua
jis tarah dīvāna ai dil tū huā
majnūñ aisā kam koī aaqil huā
ishq meñ jis ke gayā maiñ sab ko bhuul
yaad se merī vo kyuuñ ġhāfil huā
chheḌte haiñ sab dīvāna jaan ke
raah chalnā mujh par ab mushkil huā
jis se maiñ ro-ro ke ye kahtā huuñ haif
faqr meñ aisā maiñ nā-qābil huā
phañs gayā dil zulf meñ ik shoḳh ke
pī ke jām-e-ishq lā-yā'qil huā
dekh paḌtā hai vahī ab sabab kahīñ
bāvajūd-e-ilm yuuñ jāhil huā
hañs ke vo mujh se yahī kahtā hai vaah
tū to apne fan meñ ab kāmil huā
ishq meñ jaisā tū be-dil hai 'turāb'
jag meñ aisā kaun sāhib dil huā
jis tarah diwana ai dil tu hua
majnun aisa kam koi aaqil hua
ishq mein jis ke gaya main sab ko bhul
yaad se meri wo kyun ghafil hua
chheDte hain sab diwana jaan ke
rah chalna mujh par ab mushkil hua
jis se main ro-ro ke ye kahta hun haif
faqr mein aisa main na-qabil hua
phans gaya dil zulf mein ek shoKH ke
pi ke jam-e-ishq la-ya'qil hua
dekh paDta hai wahi ab sabab kahīñ
bawajud-e-ilm yun jahil hua
hans ke wo mujh se yahi kahta hai wah
tu to apne fan mein ab kaamil hua
ishq mein jaisa tu be-dil hai 'turab'
jag mein aisa kaun sahib dil hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.