jis yar ki ho yaad mein ghar-bar faramosh
jis yar ki ho yaad mein ghar-bar faramosh
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
jis yaar kī ho yaad meñ ghar-bār farāmosh
hotā hai koī dil se vo dil-dār farāmosh
jo mast haiñ tujh dars ke ai sāqī-e-sarshār
ho kyuuñ na unheñ ḳhāna-e-ḳhammār farāmosh
gar bāda-e-tauhīd piyeñ ahl-e-mashārib
haftād-o-do millat kī ho takrār farāmosh
parde ko Tuk ik muñh se agar yaar uThā de
ho jāveñ za-ḳhud mardum-e-hushiyār farāmosh
ye chehra-e-zebā jo barahman kabhī dekhe
ho jaa.e use but kī parastār farāmosh
gar kabk-e-darī chaal tirī bāñkī ye dekhe
rah jaa.e achuk aur kare raftār farāmosh
jab dil meñ khīñchā 'niyāz' ke tujh husn kā naqsha
ho kyuuñ na use sūrat-e-aġhyār farāmosh
jis yar ki ho yaad mein ghar-bar faramosh
hota hai koi dil se wo dil-dar faramosh
jo mast hain tujh dars ke ai saqi-e-sarshaar
ho kyun na unhen KHana-e-KHammar faramosh
gar baada-e-tauhid piyen ahl-e-mashaarib
haftad-o-do millat ki ho takrar faramosh
parde ko Tuk ek munh se agar yar uTha de
ho jawen za-KHud mardum-e-hushiyar faramosh
ye chehra-e-zeba jo barahman kabhi dekhe
ho jae use but ki parastar faramosh
gar kabk-e-dari chaal teri banki ye dekhe
rah jae achuk aur kare raftar faramosh
jab dil mein khincha 'niyaz' ke tujh husn ka naqsha
ho kyun na use surat-e-aghyar faramosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.