jise tajalli-e-jaanan se aagahi na hui
jise tajallī-e-jānāñ se āgahī na huī
vo zindagī to huī asl zindagī na huī
vo kyā hayāt hai jo tark-e-bandagī na huī
charāġh jaltā rahā aur raushnī na huī
tere mizāj meñ ek din bhī barhamī na huī
ḳhushī kī baat thī lekin mujhe ḳhushī na huī
shahīd-e-nāz kā rutba kisī ko kyā ma.alūm
kisī sarisht meñ taḳhlīq-e-sarmadī na huī
mujhe sukūn kī duniyā na mil sakī ab tak
merī jabīñ pe sajda jo maktabī na huī
qadam qadam pe rahī ek yaad dāman-gīr
tumhārī bazm meñ ye mujh ko be-ḳhudī na huī
nigār-ḳhānoñ meñ kyā kyā sukūn dil ko milā
ye aur baat hai taskīn-dā.imī na huī
jahāñ bhī dekhā jidhar dekhā aap ko dekhā
maiñ kyuuñ kahūñ ki ye me.arāj-e-āshiqī na huī
tamām-umr guzārī hai mai-kade meñ magar
vo riñd huuñ ki tabī.at ko serī na huī
ek aap hī insāniyat ke paikar haiñ
ye ek fareb huā qadar-e-ādamī na huī
mushā.eron kī fazā tak ho chukā lutf-o-surūr
'azīz-vārsī' ham se vo shā.erī na huī
jise tajalli-e-jaanan se aagahi na hui
wo zindagi to hui asl zindagi na hui
wo kya hayat hai jo tark-e-bandagi na hui
charagh jalta raha aur raushni na hui
tere mizaj mein ek din bhi barhami na hui
KHushi ki baat thi lekin mujhe KHushi na hui
shahid-e-naz ka rutba kisi ko kya malum
kisi sarisht mein taKHliq-e-sarmadi na hui
mujhe sukun ki duniya na mil saki ab tak
meri jabin pe sajda jo maktabi na hui
qadam qadam pe rahi ek yaad daman-gir
tumhaari bazm mein ye mujh ko be-KHudi na hui
nigar-KHanon mein kya kya sukun dil ko mila
ye aur baat hai taskin-daimi na hui
jahan bhi dekha jidhar dekha aap ko dekha
main kyun kahun ki ye mearaj-e-ashiqi na hui
tamam-umr guzari hai mai-kade mein magar
wo rind hun ki tabiat ko seri na hui
ek aap hi insaniyat ke paikar hain
ye ek fareb hua qadar-e-adami na hui
mushaeron ki faza tak ho chuka lutf-o-surur
'aziz-warsi' hum se wo shaeri na hui
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 159)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.