jise tum ghair samjhe ho use hum yar kahte hain
jise tum ġhair samjhe ho use ham yaar kahte haiñ
jahāñ ko ham sarāsar jalva-e-dīdār kahte haiñ
na ho jis gul meñ terī bū use ham ḳhaar kahte haiñ
jahāñ tū jalva-gar hove use gulzār kahte haiñ
adā jis haal meñ nikle use raftār kahte haiñ
suḳhan jo jī ko le jaave use guftār kahte haiñ
sanad mansūr kī hai ye hameñ rāh-e-mohabbat meñ
sar-e-dār aa.e jis kā sar use sardār kahte haiñ
agar dil saaf hai kab koī hai dīdār kā maan.e
jo hove sadd-e-rāh-e-yār use dīvār kahte haiñ
kaTī shab intizār-e-yār meñ par kuchh nahīñ dekhā
nahīñ ma'alūm kis ko daulat-e-bedār kahte haiñ
nigāh-e-mast terī kis qadar ḳhūñ-rez 'ālam hai
'abas āñkhoñ ko tere nargis-e-bīmār kahte haiñ
faqat zāhid kī kaj-fahmī thī varna kuchh thā qaziyya
vo mehrābeñ kahe ham abrū-e-ḳham-dār kahte haiñ
nahīñ hai apnā sheva shā.irī kā 'fard' par ham ne
kiyā nazr-e-niyāz un kī jo be-ash'ār kahte haiñ
jise tum ghair samjhe ho use hum yar kahte hain
jahan ko hum sarasar jalwa-e-didar kahte hain
na ho jis gul mein teri bu use hum KHar kahte hain
jahan tu jalwa-gar howe use gulzar kahte hain
ada jis haal mein nikle use raftar kahte hain
suKHan jo ji ko le jawe use guftar kahte hain
sanad mansur ki hai ye hamein rah-e-mohabbat mein
sar-e-dar aae jis ka sar use sardar kahte hain
agar dil saf hai kab koi hai didar ka mane
jo howe sadd-e-rah-e-yar use diwar kahte hain
kaTi shab intizar-e-yar mein par kuchh nahin dekha
nahin ma'alum kis ko daulat-e-bedar kahte hain
nigah-e-mast teri kis qadar KHun-rez 'alam hai
'abas aankhon ko tere nargis-e-bimar kahte hain
faqat zahid ki kaj-fahmi thi warna kuchh tha qaziyya
wo mehraben kahe hum abru-e-KHam-dar kahte hain
nahin hai apna shewa shairi ka 'fard' par hum ne
kiya nazr-e-niyaz un ki jo be-ash'ar kahte hain
- Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 24)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.