Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jiye yahan ke liye ya mare wahan ke liye

Khwaja Azizul Hasan Majzoob

jiye yahan ke liye ya mare wahan ke liye

Khwaja Azizul Hasan Majzoob

jiye yahāñ ke liye mare vahāñ ke liye

akelā-dam kare kyā kyā kahāñ kahāñ ke liye

sabab na pūchh ki ye ibtidā bāteñ haiñ

fuġhāñ ab to sabab hai mirī fuġhāñ ke liye

na rāz-e-husn tafsīl pūchh ai hamdam

ḳhulāsa ye ki aafat hai rāz-dāñ ke liye

'asā-e-āh liyā jāma-e-fanā pahnā

batā de dil haiñ ye tayyāriyāñ kahāñ ke liye

na baiTh mutma.in ai dil ke hai ye nādānī

vo imtihāñ se gurezāñ haiñ imtihāñ ke liye

uTheñge hashr meñ kahte hue ki hā-e-ġhazab

rahegā ḳhuub ye unvān dāstāñ ke liye

na samjho baḌ use 'majzūb' baġhaur suno

ye ek ganj-e-ma.ānī hai nukta daañ ke liye

jiye yahan ke liye ya mare wahan ke liye

akela-dam kare kya kya kahan kahan ke liye

sabab na puchh ki ye ibtida ki baaten hain

fughan hi ab to sabab hai meri fughan ke liye

na raaz-e-husn ki tafsil puchh ai hamdam

KHulasa ye ki aafat hai raaz-dan ke liye

'asa-e-ah liya jama-e-fana pahna

bata de dil hain ye tayyariyan kahan ke liye

na baiTh mutmain ai dil ke hai ye nadani

wo imtihan se gurezan hain imtihan ke liye

uThenge hashr mein kahte hue ki ha-e-ghazab

rahega KHub ye unwan dastan ke liye

na samjho baD use 'majzub' ki baghaur suno

ye ek ganj-e-maani hai nukta dan ke liye

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now