jo dur se bhi nazar tujh pe yar hum karte
jo duur se bhī nazar tujh pe yaar ham karte
hazār jān-e-girāmī nisār ham karte
tire ḳhayāl se bāteñ hazār ham karte
ġham-e-firāq ko yuuñ ḳhush-gavār ham karte
havā-e-gul meñ na parvā-e-ḳhār ham karte
rah-e-talab meñ qadam ustuvār ham karte
abhī kuchh aur dam-e-vāpsīñ Thahar jaatā
kuchh aur bhī jo terā intizār ham karte
vo baar baar sazā jurm-e-shauq par dete
magar qusūr vahī baar baar ham karte
tire sitam kī shikāyat zarūrat kyā thī hameñ
ki shauq se gila-e-rozgār ham karte
ġhubār-e-rāh-e-mohabbat agar kahīñ miltā
to us ko tāj-e-sar-e-iftiḳhār ham karte
diloñ kī dasht-e-tamannā meñ thī farāvānī
vo kahte haiñ ki kahāñ tak shikār ham karte
vo vaqt bhī kahīñ aatā ki arz-e-hāl ke ba.ad
tirī jafā pe tujhe sharmsār ham karte
terā ḳhayāl na dil se kisī tarah jaatā
tujhe na bhūlte koshish hazār ham karte
jo naam aap kā lete sukūn-e-ġham ke liye
to dil ko aur bhī kuchh be-qarār ham karte
samajh ke chhoḌ diye be-hisāb āḳhir-kār
ki dil ke daaġh kahāñ tak shumār ham karte
abhī se tujh pe fidā ho ga.e to ġham kyā hai
ki ye vahī hai jo pāyān-e-kār ham karte
baḌā gunāh kiyā tark-e-mai se shak meñ paḌe
yaqīn-e-rahmat-e-āmurzgār ham karte
adū se kyuuñ haiñ vo raazī na kuchh khulā 'hasrat'
ki phir tarīq vahī iḳhtiyār ham karte
jo dur se bhi nazar tujh pe yar hum karte
hazar jaan-e-girami nisar hum karte
tere KHayal se baaten hazar hum karte
gham-e-firaq ko yun KHush-gawar hum karte
hawa-e-gul mein na parwa-e-KHar hum karte
rah-e-talab mein qadam ustuwar hum karte
abhi kuchh aur dam-e-wapsin Thahar jata
kuchh aur bhi jo tera intizar hum karte
wo bar bar saza jurm-e-shauq par dete
magar qusur wahi bar bar hum karte
tere sitam ki shikayat zarurat kya thi hamein
ki shauq se gila-e-rozgar hum karte
ghubar-e-rah-e-mohabbat agar kahin milta
to us ko taj-e-sar-e-iftiKHar hum karte
dilon ki dasht-e-tamanna mein thi farawani
wo kahte hain ki kahan tak shikar hum karte
wo waqt bhi kahin aata ki arz-e-haal ke baad
teri jafa pe tujhe sharmsar hum karte
tera KHayal na dil se kisi tarah jata
tujhe na bhulte koshish hazar hum karte
jo nam aap ka lete sukun-e-gham ke liye
to dil ko aur bhi kuchh be-qarar hum karte
samajh ke chhoD diye be-hisab aaKHir-kar
ki dil ke dagh kahan tak shumar hum karte
abhi se tujh pe fida ho gae to gham kya hai
ki ye wahi hai jo payan-e-kar hum karte
baDa gunah kiya tark-e-mai se shak mein paDe
yaqin-e-rahmat-e-amurzgar hum karte
adu se kyun hain wo raazi na kuchh khula 'hasrat'
ki phir tariq wahi iKHtiyar hum karte
- Book : Deewan-e-Hasrat Voll. II (Pg. 224)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.