Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jo hui so hui jaane do milo bismillah

Meer Muhammad Bedar

jo hui so hui jaane do milo bismillah

Meer Muhammad Bedar

MORE BYMeer Muhammad Bedar

    jo huī so huī jaane do milo bismillāh

    jām-e-mai haath se lo mere piyo bismillāh

    muntazir aap ke aane ka.ī din se huuñ

    kyā hai tāḳhīr qadam-ranja karo bismillāh

    le chuke dil to phir ab kyā hai sabab ranjish

    bhī hāzir hai jo lete ho to lo bismillāh

    maiñ to huuñ kushta-e-abrū-e-but-e-mus.haf-e-rū

    mū-qalam se mire turbat pe likho bismillāh

    zab.h karnā mujhe tum ko hai manzūr agar

    maiñ bhī hāzir huuñ mirī jaan uTho bismillāh

    hote āzurda ho aane se hamāre jo tum

    ḳhush raho mat ho ḳhafā ham chale lo bismillāh

    ain rāhat hai mujhe banda-navāzā is meñ

    qadam āñkhoñ pe mirī aa ke rakho bismillāh

    jin rahte ho shab-o-roz tum ab sohbat meñ

    jaao ai jaan ab un ke raho bismillāh

    mast niklā hai mai-e-husn meñ 'bedār' vo shoḳh

    dekhnā gar na paḌe kahte chalo bismillāh

    jo hui so hui jaane do milo bismillah

    jam-e-mai hath se lo mere piyo bismillah

    muntazir aap ke aane ka kai din se hun

    kya hai taKHir qadam-ranja karo bismillah

    le chuke dil to phir ab kya hai sabab ranjish ka

    ji bhi hazir hai jo lete ho to lo bismillah

    main to hun kushta-e-abru-e-but-e-mushaf-e-ru

    mu-qalam se mere turbat pe likho bismillah

    zabh karna hi mujhe tum ko hai manzur agar

    main bhi hazir hun meri jaan uTho bismillah

    hote aazurda ho aane se hamare jo tum

    KHush raho mat ho KHafa hum chale lo bismillah

    ain rahat hai mujhe banda-nawaza is mein

    qadam aankhon pe meri aa ke rakho bismillah

    jin ki rahte ho shab-o-roz tum ab sohbat mein

    jao ai jaan ab un ke hi raho bismillah

    mast nikla hai mai-e-husn mein 'bedar' wo shoKH

    dekhna gar na paDe kahte chalo bismillah

    Source :
    • Book : Diwan-e-Bedar edited: Jalil Ahmad Qidwai (Pg. 83)
    • Author : Meer Mohammad 'Bedar'
    • Publication : Hindustani Academy, Allahabad (1937)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now