jo ki teri tamanna to tamanna thi mujhe gham ki

jo ki teri tamanna to tamanna thi mujhe gham ki
Maikash Akbarabadi
MORE BYMaikash Akbarabadi
jo kī terī tamannā to tamannā thī mujhe ġham kī
tamannā se magar sāzish tirī nazroñ ne kyā kam kī
nahīñ mauqūf kuchh milne na milne par tire zālim
mire dil se na jā.egā ye fitrat hai tire ġham kī
taqāzā dard-e-dil kā hai ki lekar mujh ko uḌ jaa.e
jise kahte haiñ naala koshish-e-nākām hai ram kī
tumheñ jab dekhtā huuñ chāhtā hai jī ki miT jā.ūñ
ḳhudā jaane ye kaifiyyat masarrat kī hai yā ġham kī
ḳhalish ḳhār-e-tamannā kī hai vaj.h-e-zindagī mujh ko
vafā kā kyā karūñ shikvā jafā bhī aap ne kam kī
na chheḌo sāz-e-'ishrat aur thoḌī der dam le lo
na kar de past naġhmoñ ko sadā 'maikash' ke mātam kī
jo ki teri tamanna to tamanna thi mujhe gham ki
tamanna se magar sazish teri nazron ne kya kam ki
nahin mauquf kuchh milne na milne par tere zalim
mere dil se na jaega ye fitrat hai tere gham ki
taqaza dard-e-dil ka hai ki lekar mujh ko uD jae
jise kahte hain nala koshish-e-nakaam hai ram ki
tumhein jab dekhta hun chahta hai ji ki miT jaun
KHuda jaane ye kaifiyyat masarrat ki hai ya gham ki
KHalish KHar-e-tamanna ki hai wajh-e-zindagi mujh ko
wafa ka kya karun shikwa jafa bhi aap ne kam ki
na chheDo saz-e-'ishrat aur thoDi der dam le lo
na kar de past naghmon ko sada 'maikash' ke matam ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.