Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jo kuchh ki thā wazāif-o-aurād rah gayā

Meer Muhammad Bedar

jo kuchh ki thā wazāif-o-aurād rah gayā

Meer Muhammad Bedar

MORE BYMeer Muhammad Bedar

    jo kuchh ki thā vazā.if-o-aurād rah gayā

    terā ek naam faqat yaad rah gayā

    zālim tirī nigah ne kiye ghar ke ghar ḳharāb

    hogā koī makāñ ki vo ābād rah gayā

    jaate haiñ ham-safīr chaman ko par ek maiñ

    yaañ kushta-e-taġhāful-e-sayyād rah gayā

    juuñ do-chār aa ke huā vo nazar-fareb

    le kar qalam ko haath meñ bahzād rah gayā

    is sarv-e-gul-azār tarz-e-ḳhirām dekh

    ḳhajlat se gaḌ zamīn meñ shamshād rah gayā

    kis kis dil na shaad kiyā ne ai falak

    ik maiñ ġham-zada huuñ ki nāshād rah gayā

    'bedār' rāh-e-ishq kisī se na tai huī

    sahrā meñ qais koh meñ farhād rah gayā

    jo kuchh ki thā wazāif-o-aurād rah gayā

    terā ek nam faqat yaad rah gayā

    zālim tirī nigah ne kiye ghar ke ghar ḳharāb

    hogā koī makāñ ki wo ābād rah gayā

    jate haiñ ham-safīr chaman ko par ek maiñ

    yañ kushta-e-taġhāful-e-sayyād rah gayā

    juñ do-chār aa ke huā wo nazar-fareb

    le kar qalam ko hath meñ bahzād rah gayā

    is sarw-e-gul-azār tarz-e-ḳhirām dekh

    ḳhajlat se gaḌ zamīn meñ shamshād rah gayā

    kis kis dil na shad kiyā ne ai falak

    ek maiñ ġham-zada huñ ki nāshād rah gayā

    'bedār' rāh-e-ishq kisī se na tai huī

    sahrā meñ qais koh meñ farhād rah gayā

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now