jo laa.e mai-kada meñ us ko savāb hogā
ka.abe chalā hai zāhid kaisā ḳharāb hogā
barbādī-e-fanā se ḳhālī nahīñ jabīñ bhī
ik roz zarra zarra ye āftāb hogā
tā-zindagī rahā hai dāñtoñ kā us ke saudā
mahshar meñ motiyoñ par apnā hisāb hogā
yā-rab sabīl rakh kar pīr-e-muġhāñ pukāre
lillāh piite jaao pyāso savāb hogā
ahbāb de ke miTTī ro.eñge kyā lahad par
do bol fātiha bhī paḌhnā azaab hogā
ik aah se to merī be-tāb ho ga.e tum
kahiye to mere dil ko kyā iztirāb hogā
be-nasha ham ko zāhid kuchh sūjhtā nahīñ hai
batlā de mai-kade kā rasta savāb hogā
hai garm dhuup se bhī saaya mire chaman kā
sayyād mere ḳhātir jal kar kabāb hogā
behosh kal uThā kar laa.e the 'kaif' ko ham
phir aaj mai-kade meñ ḳhāna-ḳharāb hogā
jo lae mai-kada mein us ko sawab hoga
kabe chala hai zahid kaisa KHarab hoga
barbaadi-e-fana se KHali nahin jabin bhi
ek roz zarra zarra ye aaftab hoga
ta-zindagi raha hai danton ka us ke sauda
mahshar mein motiyon par apna hisab hoga
ya-rab sabil rakh kar pir-e-mughan pukare
lillah pite jao pyaso sawab hoga
ahbab de ke miTTi roenge kya lahad par
do bol fatiha bhi paDhna azab hoga
ek aah se to meri be-tab ho gae tum
kahiye to mere dil ko kya iztirab hoga
be-nasha hum ko zahid kuchh sujhta nahin hai
batla de mai-kade ka rasta sawab hoga
hai garm dhup se bhi saya mere chaman ka
sayyaad mere KHatir jal kar kabab hoga
behosh kal uTha kar lae the 'kaif' ko hum
phir aaj mai-kade mein KHana-KHarab hoga
Source :
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 25)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.