jo na kabe mein hai mahdud na but-KHane mein
jo na ka.abe meñ hai mahdūd na but-ḳhāne meñ
haaye vo idrāk ujḌe hue kāshāne meñ
miltī hai umr-e-abad ishq ke mai-ḳhāne meñ
ai ajal tū bhī samā jā mire paimāne meñ
ham kahīñ aate haiñ vaa.iz tire bahkāne meñ
usī mai-ḳhāne kī miTTī usī mai-ḳhāne meñ
sab kuchh allāh ne de rakhā hai mai-ḳhāne meñ
ḳhuld shīshe meñ hai firdaus hai paimāne meñ
baam par aake uThā do ruḳh-e-tābāñ se naqāb
ik izāfa hī sahī tuur ke afsāne meñ
aaj to kar diyā saaqī ne mujhe mast-e-alast
Daal kar ḳhaas nigāheñ mire paimāne meñ
aaj saaqī ne ye kyā haal banā rakhā hai
kabhī mai-ḳhāne se bāhar kabhī mai-ḳhāne meñ
aap dekheñ to sahī rabt-e-mohabbat kyā hai
apnā afsāna milā kar mire afsāne meñ
hajv ne terā ai shaiḳh bhram khol diyā
tū to masjid meñ hai niyyat tirī mai-ḳhāne meñ
mashvare hote haiñ jo shaiḳh-o-barhaman meñ 'jigar'
rind sun lete haiñ baiThe ho.e mai-ḳhāne meñ
jo na kabe mein hai mahdud na but-KHane mein
haye wo idrak ujDe hue kashane mein
milti hai umr-e-abad ishq ke mai-KHane mein
ai ajal tu bhi sama ja mere paimane mein
hum kahin aate hain waiz tere bahkane mein
usi mai-KHane ki miTTi usi mai-KHane mein
sab kuchh allah ne de rakha hai mai-KHane mein
KHuld shishe mein hai firdaus hai paimane mein
baam par aake uTha do ruKH-e-taban se naqab
ek izafa hi sahi tur ke afsane mein
aaj to kar diya saqi ne mujhe mast-e-alast
Dal kar KHas nigahen mere paimane mein
aaj saqi ne ye kya haal bana rakha hai
kabhi mai-KHane se bahar kabhi mai-KHane mein
aap dekhen to sahi rabt-e-mohabbat kya hai
apna afsana mila kar mere afsane mein
hajw ne tera ai shaiKH bhram khol diya
tu to masjid mein hai niyyat teri mai-KHane mein
mashware hote hain jo shaiKH-o-barhaman mein 'jigar'
rind sun lete hain baiThe hoe mai-KHane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.