junun mein ek din Danka baje ga josh-e-iman ka
junūñ meñ ek din Dañkā baje gā josh-e-īmāñ kā
hai il-lallāh āvāza mire chāk-e-garebāñ kā
varaq mujh jo haath aa jaa.e ḳhurshīd-e-daraḳhshāñ kā
to likhūñ vasf rū-e-pāk kuchh mahbūb-e-yazdāñ kā
ḳhayāl-e-tan na phir aayā jo niklī ruuh qālib se
rihā ho kar nā dekhā ḳhvāb bhī yūsuf ne zindāñ kā
kisī kā sān.e.a kaunain khīñche gā magar naqsha
varaq saada paḌā hai aaj tak mehr-e-daraḳhshāñ kā
ajab shādāb hai lākhoñ gul-e-zaḳhm is meñ khilte haiñ
nihāl-e-dil mirā sīñchā huā hai āb-e-paikāñ kā
hue arbāb-e-mahfil ḳhush ḳhudā ne aabrū rakh lī
ki thā 'shoq'-e-imtahāñ us dam tirī tab.a-e-suḳhn-dāñ kā
junun mein ek din Danka baje ga josh-e-iman ka
hai il-lallah aawaza mere chaak-e-gareban ka
waraq mujh jo hath aa jae KHurshid-e-daraKHshan ka
to likhun wasf ru-e-pak kuchh mahbub-e-yazdan ka
KHayal-e-tan na phir aaya jo nikli ruh qalib se
riha ho kar na dekha KHwab bhi yusuf ne zindan ka
kisi ka sanea kaunain khinche ga magar naqsha
waraq sada paDa hai aaj tak mehr-e-daraKHshan ka
ajab shadab hai lakhon gul-e-zaKHm is mein khilte hain
nihaal-e-dil mera sincha hua hai aab-e-paikan ka
hue arbab-e-mahfil KHush KHuda ne aabru rakh li
ki tha 'shoq'-e-imtahan us dam teri taba-e-suKHn-dan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.