junun se kuchh nahin chaara kare kya qais bechaara
junun se kuchh nahin chaara kare kya qais bechaara
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
junūñ se kuchh nahīñ chāra kare kyā qais bechāra
barahna-pā barahna-sar phire hai ban meñ āvāra
na rotā hai na hañstā hai na kuchh kahtā na suntā hai
sharāb-e-ishq-e-lailā se huā mad.hosh yak-bārā
mohabbat jab huī ġhālib nahīñ chhuptī chhupāne se
fuġhān-o-āh-o-nāla hai tire āshiq kā naqqārā
vo us kī qadr kyā jaane ḳhudā-hāfiz maiñ Dartā huuñ
paḌā hai haath meñ laḌke ke mere dil kā sīpāra
hamāre mashrab-o-mazhab se zāhid ko ḳhabar kyā hai
vo tifl-e-shīr-ḳhvāra hai use hujra hai gahvārā
uThā le aañkh se merī tū nāseh āstīñ apnī
karegā tujh ko tar dāman mire aañsū kā favvāra
vo dil par mere dhar ke haath uf kar ke lagā kahne
huā hai ishq kī garmī se terā dil to añgāra
'turāb' us shaḳhs ko ham nek-o-ḳhush-auqāt kahte haiñ
ḳhudā kī yaad meñ jis ke kaTe auqāt hamvāra
junun se kuchh nahin chaara kare kya qais bechaara
barahna-pa barahna-sar phire hai ban mein aawara
na rota hai na hansta hai na kuchh kahta na sunta hai
sharab-e-ishq-e-laila se hua madhosh yak-bara
mohabbat jab hui ghaalib nahin chhupti chhupane se
fughan-o-ah-o-nala hai tere aashiq ka naqqara
wo us ki qadr kya jaane KHuda-hafiz main Darta hun
paDa hai hath mein laDke ke mere dil ka sipara
hamare mashrab-o-mazhab se zahid ko KHabar kya hai
wo tifl-e-shir-KHwara hai use hujra hai gahwara
uTha le aankh se meri tu naseh aastin apni
karega tujh ko tar daman mere aansu ka fawwara
wo dil par mere dhar ke hath uf kar ke laga kahne
hua hai ishq ki garmi se tera dil to angara
'turab' us shaKHs ko hum nek-o-KHush-auqat kahte hain
KHuda ki yaad mein jis ke kaTe auqat hamwara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.