jun hi aamad aamad-e-ishq ka mujhe dil ne muzda suna diya
jun hi aamad aamad-e-ishq ka mujhe dil ne muzda suna diya
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
juuñ hī aamad āmad-e-'ishq kā mujhe dil ne muzda sunā diyā
kHirad-o-havās-o-shakeb ne vahīñ kos-e-kūch bajā diyā
jise dekhnā hī muhāl thā na thā us kā nām-o-nishāñ kahīñ
so har ek zarre meñ 'ishq ne hameñ us kā jalva dikhā diyā
karūñ kyā bayāñ maiñ ham-nashīñ asar us kī luf-o-nigāh kā
ki ta’ayyunāt kī qaid se mujhe ek dam meñ chhuḌā diyā
mire chakhne ke liye ek jar’a bhī us sharāb kā thā bahut
tū ne sair-chashmī se sāqiyā sar-e-ḳhum ko le ke jhukā diyā
mujhe 'ishq-e-dil se hī kaam thā na ki ustuḳhvān ko phūñknā
ġhazab ek sher ke vāste tū ne nīstāñ ko jalā diyā
tirī nāsehā ye chunāñ-chunīñ ki haiñ ḳhud-pasandī ke sab qarīñ
na dikhā.ī degī tujhe kabhī kahīñ jo bhī kisī ne bujhā diyā
rakhe haiñ 'niyāz' ye ahl-e-dil tire sher sunñe kā ishtiyāq
ġhazal ek dūsrī aur kah tujhe haq ne fikr-e-rasā diyā
jun hi aamad aamad-e-'ishq ka mujhe dil ne muzda suna diya
kHirad-o-hawas-o-shakeb ne wahin kos-e-kuch baja diya
jise dekhna hi muhaal tha na tha us ka nam-o-nishan kahin
so har ek zarre mein 'ishq ne hamein us ka jalwa dikha diya
karun kya bayan main ham-nashin asar us ki luf-o-nigah ka
ki ta’ayyunat ki qaid se mujhe ek dam mein chhuDa diya
mere chakhne ke liye ek jar’a bhi us sharab ka tha bahut
tu ne sair-chashmi se saqiya sar-e-KHum ko le ke jhuka diya
mujhe 'ishq-e-dil se hi kaam tha na ki ustuKHwan ko phunkna
ghazab ek sher ke waste tu ne nistan ko jala diya
teri naseha ye chunan-chunin ki hain KHud-pasandi ke sab qarin
na dikhai degi tujhe kabhi kahin jo bhi kisi ne bujha diya
rakhe hain 'niyaz' ye ahl-e-dil tere sher sunne ka ishtiyaq
ghazal ek dusri aur kah tujhe haq ne fikr-e-rasa diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.