kaam jo karna tha tujhko wo masiha kar diya
kaam jo karnā thā tujh ko vo masīhā kar diyā
maar Daalā ham ko duniyā bhar meñ zinda kar diyā
mar ga.e sab vo samajhte haiñ tasallī ho ga.ī
hañs ke kahte haiñ marīzoñ kā mudāvā kar diyā
kis qadar afsurda afsurda thā bāġh-e-kā.enāt
husn kī nairañgiyoñ ne rañg paidā kar diyā
ye taraf-dārī na thī to kyā thā qassam-e-azal
ham ko be-dil kar diyā un ko dil-ārā kar diyā
fātiha paḌhte rahe hañste rahe rote rahe
qabr par aa kar unhoñne qaul puurā kar diyā
der se bigḌe hue baiThe haiñ vo is baat par
kyuuñ mire bīmār ko iisā ne achchhā kar diyā
kyā samajh kar sham-e-rū-e-yār par tum ne 'jigar'
sūrat-e-parvāna dil qurbān apnā kar diyā
kaam jo karna tha tujh ko wo masiha kar diya
mar Dala hum ko duniya bhar mein zinda kar diya
mar gae sab wo samajhte hain tasalli ho gai
hans ke kahte hain marizon ka mudawa kar diya
kis qadar afsurda afsurda tha bagh-e-kaenat
husn ki nairangiyon ne rang paida kar diya
ye taraf-dari na thi to kya tha qassam-e-azal
hum ko be-dil kar diya un ko dil-ara kar diya
fatiha paDhte rahe hanste rahe rote rahe
qabr par aa kar unhonne qaul pura kar diya
der se bigDe hue baiThe hain wo is baat par
kyun mere bimar ko isa ne achchha kar diya
kya samajh kar sham-e-ru-e-yar par tum ne 'jigar'
surat-e-parwana dil qurban apna kar diya
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 219)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.