kash hasil mujhe ye rang-e-tamasha hota
kash hasil mujhe ye rang-e-tamasha hota
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
kaash hāsil mujhe ye rañg-e-tamāshā hotā
roz-o-shab sāmne terā ruḳh-e-zebā hotā
raunaqeñ ātīñ ḳhushī hotī nikalte armāñ
tum qadam rakhte mire ghar meñ to kyā kyā hotā
phir mujhe ishq meñ ma.azūr samajhtā nāseh
merī āñkhoñ se jo us ne tujhe dekhā hotā
mehmāñ hai koī dam kā ye tumhārā bīmār
tum bhī aa jaate jo bālīñ pe to achchhā hotā
yuuñ na Thukrāo agar de hī diyā dil tum ko
dil tumhārā jo na hotā to ye kis kā hotā
har ghaḌī us kī ma'iyyat kā tasavvur hai 'nasīr'
ye bhī hotā na mire saath to tanhā hotā
kash hasil mujhe ye rang-e-tamasha hota
roz-o-shab samne tera ruKH-e-zeba hota
raunaqen aatin KHushi hoti nikalte arman
tum qadam rakhte mere ghar mein to kya kya hota
phir mujhe ishq mein mazur samajhta naseh
meri aankhon se jo us ne tujhe dekha hota
mehman hai koi dam ka ye tumhaara bimar
tum bhi aa jate jo baalin pe to achchha hota
yun na Thukrao agar de hi diya dil tum ko
dil tumhaara jo na hota to ye kis ka hota
har ghaDi us ki ma'iyyat ka tasawwur hai 'nasir'
ye bhi hota na mere sath to tanha hota
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 1196)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.