Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kab nishan mera kisi ko shab-e-hasti mein mila

Muzaffar Warsi

kab nishan mera kisi ko shab-e-hasti mein mila

Muzaffar Warsi

MORE BYMuzaffar Warsi

    kab nishāñ merā kisī ko shab-e-hastī meñ milā

    maiñ to jugnū tarah apnī muTThī meñ milā

    bhaag niklā thā jo tūfāñ se chhuḌā kar dāman

    sar-e-sāhil vahī Duubā huā kashtī meñ milā

    aañkh raushan ho to duniyā ke añdhere kyā haiñ

    rasta mahtāb ko rātoñ siyāhī meñ milā

    maiñ jalātā rahā tere liye lamhoñ ke charāġh

    guzartā huā sadiyoñ savārī meñ milā

    ne mañgtoñ ko uchaTtī huī nazreñ bhī na diiñ

    haath phailāyā na jis ne use jholī meñ milā

    maiñ ik aañsū sahī huuñ bahut anmol magar

    yuuñ na palkoñ se girā kar mujhe miTTī meñ milā

    mahfiloñ meñ kiyā logoñ ne 'muzaffar' talāsh

    vo bhaTaktā huā afkār vaadī meñ milā

    kab nishan mera kisi ko shab-e-hasti mein mila

    main to jugnu ki tarah apni hi muTThi mein mila

    bhag nikla tha jo tufan se chhuDa kar daman

    sar-e-sahil wahi Duba hua kashti mein mila

    aankh raushan ho to duniya ke andhere kya hain

    rasta mahtab ko raaton ki siyahi mein mila

    main jalata raha tere liye lamhon ke charagh

    tu guzarta hua sadiyon ki sawari mein mila

    tu ne mangton ko uchaTti hui nazren bhi na din

    hath phailaya na jis ne use jholi mein mila

    main ek aansu hi sahi hun bahut anmol magar

    yun na palkon se gira kar mujhe miTTi mein mila

    mahfilon mein kiya logon ne 'muzaffar' ki talash

    wo bhaTakta hua afkar ki wadi mein mila

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now