kabhi husn-e-yar ka zikr hai kabhi daur-e-jam ki baat hai
kabhi husn-e-yar ka zikr hai kabhi daur-e-jam ki baat hai
Aziz Warsi Dehlvi
MORE BYAziz Warsi Dehlvi
kabhī husn-e-yār kā zikr hai kabhī daur-e-jām kī baat hai
ye hamārī sub.h kī guftugū vo hamārī shaam kī baat hai
jise aap kahte haiñ shash-jihat vo azal se hai mirī milkiyat
mire dil ne jis ko bhulā diyā ye us maqām kī baat hai
kahīñ raushnī kahīñ tīrgī jo kahīñ ḳhushī to kahīñ ġhamī
terī bazm meñ hameñ daḳhl kyā tire ehtimām kī baat hai
mirā har maqām pe tazkira mirā har zabān par tabsira
ye tumhārī zaat kā faiz hai ye tumhāre naam kī baat hai
vo namāz paḌhtā huuñ roz-o-shab ki 'azīz' jis pe fidā haiñ sab
na kahīñ sujūd kā zikr hai na kahīñ qiyām kī baat hai
kabhi husn-e-yar ka zikr hai kabhi daur-e-jam ki baat hai
ye hamari subh ki guftugu wo hamari sham ki baat hai
jise aap kahte hain shash-jihat wo azal se hai meri milkiyat
mere dil ne jis ko bhula diya ye us maqam ki baat hai
kahin raushni kahin tirgi jo kahin KHushi to kahin ghami
teri bazm mein hamein daKHl kya tere ehtimam ki baat hai
mera har maqam pe tazkira mera har zaban par tabsira
ye tumhaari zat ka faiz hai ye tumhaare nam ki baat hai
wo namaz paDhta hun roz-o-shab ki 'aziz' jis pe fida hain sab
na kahin sujud ka zikr hai na kahin qiyam ki baat hai
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 158)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.