kabhi shisha ki tarh dil ne rulaya mujhko
kabhi shisha ki tarh dil ne rulaya mujhko
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
kabhī shīsha kī tarh dil ne rulāyā mujh ko
jaam ke taur kabhī un se hañsāyā mujh ko
zulm aur jaur-o-jafā haq meñ mire kHuub nahīñ
pahle hai mehr-o-mohabbat se bulāyā mujh ko
aur sab bāteñ haiñ ye baat huī hai tahqīq
jin ne paayā hai tujhe un ne hai paayā mujh ko
kyuuñ kī shākī huuñ mohabbat kā jilā tum hī kaho
jo jo aatā thā na mujh ko so sikhāyā mujh ko
'ishq' ehsān falak kā karūñ maiñ kyuuñ ke bayāñ
kūcha-e-yār meñ le jaake biThāyā mujh ko
kabhi shisha ki tarh dil ne rulaya mujh ko
jam ke taur kabhi un se hansaya mujh ko
zulm aur jaur-o-jafa haq mein mere kHub nahin
pahle hai mehr-o-mohabbat se bulaya mujh ko
aur sab baaten hain ye baat hui hai tahqiq
jin ne paya hai tujhe un ne hai paya mujh ko
kyun ki shaki hun mohabbat ka jila tum hi kaho
jo jo aata tha na mujh ko so sikhaya mujh ko
'ishq' ehsan falak ka karun main kyun ke bayan
kucha-e-yar mein le jake biThaya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.