kabhi tanhai-e-manzil se jo ghabraata hun
kabhī tanhā.ī-e-manzil se jo ghabrātā huuñ
un kī āvāz ye aatī hai ki maiñ aatā huuñ
be-ḳhudī kī yahī takmīl hai shāyad ai dost
tū jo aatā hai to maiñ hosh meñ aa jaatā huuñ
ye tirā dar bhī hai ka.aba bhī hai but-ḳhāna bhī
sajde kartā huā maiñ sab ko yahīñ paatā huuñ
tuur ḳhāmosh sahī jalve to ḳhāmosh nahīñ
bijliyāñ kauñdtī paatā huuñ jidhar jaatā huuñ
ab use DhūñDne vaalā nahīñ bhaTkegā koī
maiñ rah-e-dost meñ ik naqsh banā jaatā huuñ
kaun āvāz diye jaatā hai mujh ko 'qaisar'
ki maiñ har gaam pe kahtā huuñ abhī aatā huuñ
kabhi tanhai-e-manzil se jo ghabraata hun
un ki aawaz ye aati hai ki main aata hun
be-KHudi ki yahi takmil hai shayad ai dost
tu jo aata hai to main hosh mein aa jata hun
ye tera dar bhi hai kaba bhi hai but-KHana bhi
sajde karta hua main sab ko yahin pata hun
tur KHamosh sahi jalwe to KHamosh nahin
bijliyan kaundti pata hun jidhar jata hun
ab use DhunDne wala nahin bhaTkega koi
main rah-e-dost mein ek naqsh bana jata hun
kaun aawaz diye jata hai mujh ko 'qaisar'
ki main har gam pe kahta hun abhi aata hun
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 207)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.