kabhi ye basti kabhi ye sahra ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
kabhi ye basti kabhi ye sahra ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
kabhī ye bastī kabhī ye sahrā ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
ajiib hālat hai dil kā naqsha ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
vo rashk-e-gul kal yahāñ thā mehmāñ ye ghar thā ḳhalvat kisī dulhan kī
hamāre ujḌe makāñ kā naqsha ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
minute minute meñ badal rahā hai ye rañg hirbā kī tarah apnā
nahīñ hai ik haal par zamāna ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
abhī thiiñ mere gale meñ bāñheñ abhī hai ġhairoñ se garm sohbat
mizāj us tifl-e-mah-liqā kā ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
use banāyā ise bigāḌā use bigāḌā ise banāyā
yahī hai duniyā kā kār-ḳhānā ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
abhī thī daarā kī bādshāhī abhī sikandar kī hai hukūmat
ajiib ibrat kī jā hai duniyā ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
abhī vo 'akbar' ke sāmne thā abhī nazar se huā chhalāvā
kabhī hai pinhāñ kabhī hai paidā ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
kabhi ye basti kabhi ye sahra ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
ajib haalat hai dil ka naqsha ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
wo rashk-e-gul kal yahan tha mehman ye ghar tha KHalwat kisi dulhan ki
hamare ujDe makan ka naqsha ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
minute minute mein badal raha hai ye rang hirba ki tarah apna
nahin hai ek haal par zamana ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
abhi thin mere gale mein banhen abhi hai ghairon se garm sohbat
mizaj us tifl-e-mah-liqa ka ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
use banaya ise bigaDa use bigaDa ise banaya
yahi hai duniya ka kar-KHana ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
abhi thi dara ki baadshahi abhi sikandar ki hai hukumat
ajib ibrat ki ja hai duniya ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
abhi wo 'akbar' ke samne tha abhi nazar se hua chhalawa
kabhi hai pinhan kabhi hai paida ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 137)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1896)
- Edition : First
- Book : Shah Akbar Danapuri Hayat aur Shaeri (Pg. 140 - E140)
- Author : Talha Rizvi Barq
- Publication : Label Litho Press, Patna (1985)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.