kaha aghyar ka haq mein mere manzur mat kijo
kaha aghyar ka haq mein mere manzur mat kijo
Ehsanullah Khan Bayan
MORE BYEhsanullah Khan Bayan
kahā aġhyār kā haq meñ mire manzūr mat kiijo
mujhe nazdīk se apne kabhū tū duur mat kiijo
hue sañg-e-jafā se shīsha-e-dil ke ka.ī TukḌe
bas ab is se ziyāda aur chaknāchūr mat kiijo
mire marham-guzār us shoḳh-e-be-parvā se ye kahiyo
ki zālim zaḳhm taaza hai use nāsūr mat kiijo
hiqārat apne āshiq kī nahīñ ma.ashūq ko bhātī
'bayāñ' sa.ī apnī rusvā.ī meñ tā-maqdūr mat kiijo
kahā thā sārbāñ ke kaan meñ lailā ne āhista
ki majnūñ kī ḳharābī kā kahīñ mazkūr mat kiijo
kaha aghyar ka haq mein mere manzur mat kijo
mujhe nazdik se apne kabhu tu dur mat kijo
hue sang-e-jafa se shisha-e-dil ke kai TukDe
bas ab is se ziyaada aur chaknachur mat kijo
mere marham-guzar us shoKH-e-be-parwa se ye kahiyo
ki zalim zaKHm taza hai use nasur mat kijo
hiqarat apne aashiq ki nahin mashuq ko bhati
'bayan' sai apni ruswai mein ta-maqdur mat kijo
kaha tha sarban ke kan mein laila ne aahista
ki majnun ki KHarabi ka kahin mazkur mat kijo
- Book : Diwan-e-Bayan Edited: Arjumand Ara (Pg. 117)
- Author : Ahsanullaah Khan Bayan
- Publication : Anjumat Taraqqi Urdu (Hind) New Delhi (2004)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.