kahen tujhse kya hum ki kya jaante the
kaheñ tujh se kyā ham ki kyā jānte the
ḳhudā-vand mere ḳhudā jānte the
salām-o-du'ā aage likhte the ham bhī
tujhe aap se jab judā jānte the
na thiiñ ḳhūbiyāñ jab talak terī zāhir
tujhe aap se āshnā jānte the
jafāon se shākī jo hote na the ham
mirī jaan terī adā jānte the
lagāvaT jo thī ham se dil se na thī vo
miyāñ ham bhī ye mudda'ā jānte the
tire 'ishq se laag thī dil ko jab tak
dam apne ko hamdam huā jānte the
kahen tujh se kya hum ki kya jaante the
KHuda-wand mere KHuda jaante the
salam-o-du'a aage likhte the hum bhi
tujhe aap se jab juda jaante the
na thin KHubiyan jab talak teri zahir
tujhe aap se aashna jaante the
jafaon se shaki jo hote na the hum
meri jaan teri ada jaante the
lagawaT jo thi hum se dil se na thi wo
miyan hum bhi ye mudda'a jaante the
tere 'ishq se lag thi dil ko jab tak
dam apne ko hamdam hua jaante the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.