kahin baiThe to dil-bardashta se
kahīñ baiThe to dil-bardashta se
faqīroñ kā makāñ koī nahīñ hai
sunā karte haiñ ham yuuñ sab kī jaise
hamārī dāstāñ koī nahīñ hai
jahāñ maiñ huuñ vahāñ tū bhī hai ai dost
jahāñ tū hai vahāñ koī nahīñ hai
badal jaatā hai har lamhe vo kāfir
maqām-e-āshiqāñ koī nahīñ hai
hai mīr-e-kārvāñ har ik yahāñ par
ki mīr-e-kārvāñ koī nahīñ hai
kahin baiThe to dil-bardashta se
faqiron ka makan koi nahin hai
suna karte hain hum yun sab ki jaise
hamari dastan koi nahin hai
jahan main hun wahan tu bhi hai ai dost
jahan tu hai wahan koi nahin hai
badal jata hai har lamhe wo kafir
maqam-e-ashiqan koi nahin hai
hai mir-e-karwan har ek yahan par
ki mir-e-karwan koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.