kahne ko to ai dil duniya mein talwar hai nashtar hai ulfat
kahne ko to ai dil duniya mein talwar hai nashtar hai ulfat
Abdul Hadi Kavish
MORE BYAbdul Hadi Kavish
kahne ko to ai dil duniyā meñ talvār hai nashtar hai ulfat
sachchā hai agar terā jazba phūloñ se hasīñ-tar hai ulfat
aate haiñ masā.ib ulfat meñ dil ġham se bhī chhalnī hotā hai
vo sāmne har-dam rahte haiñ firdaus se behtar hai ulfat
khiñchtī haiñ yahāñ par khāleñ bhī suulī bhī chaḌhāyā jaatā hai
phir god meñ letī hai rahmat in.aam kā paikar hai ulfat
ye jism jo āb-o-gil se banā hotā hai karam se un ke fanā
phir zaat meñ miltā hai sālik ik nuur kī chādar hai ulfat
kyā zikr ibādat taqvā kā jab ishq ḳhudā apnā Thahrā
kahtā huuñ yūñhī maiñ ai 'kāvish' har chiiz se bartar hai ulfat
kahne ko to ai dil duniya mein talwar hai nashtar hai ulfat
sachcha hai agar tera jazba phulon se hasin-tar hai ulfat
aate hain masaib ulfat mein dil gham se bhi chhalni hota hai
wo samne har-dam rahte hain firdaus se behtar hai ulfat
khinchti hain yahan par khaalen bhi suli bhi chaDhaya jata hai
phir god mein leti hai rahmat inam ka paikar hai ulfat
ye jism jo aab-o-gil se bana hota hai karam se un ke fana
phir zat mein milta hai salik ek nur ki chadar hai ulfat
kya zikr ibaadat taqwa ka jab ishq KHuda apna Thahra
kahta hun yunhi main ai 'kawish' har chiz se bartar hai ulfat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.