kaho.n kyaa haal zaahid vaadii-e-taiba kii nuzhat kaa

Hassan Raza Barelvi
MORE BYHassan Raza Barelvi
kaho.n kyaa haal zaahid vaadii-e-taiba kii nuzhat kaa
ki hai KHuld-e-barii.n chhoTaa saa Tuk.Daa merii jannat kaa
bulaate hai.n usii ko jis kii pag.Dii vo banaate hai.n
kamar bandhnaa dayaar taiba ko khulnaa hai qismat kaa
na kar rusvaa-e-mahshar vaasta mahbuub kaa yaa-rab
ye mujrim duur se aayaa hai sun kar naam rahmat kaa
muraade.n maa.ngne se pahle miltii hai.n madiina me.n
hujuum-e-juud ne rokaa hai ba.Dhnaa dast-e-haajat kaa
shab-e-asraa tire jalve ne kuchh aisaa samaa.n baa.ndhaa
ke ab tak 'arsh aa'zam muntazir muntazir tairii terii kaa kaa
yahaa.n ke Duubte dam me.n udhar jaa kar ubharte hai.n
kinaaraa ek hai nahr-e-nadaamat bahr-e-rahmat kaa
Ganii hai dil bharaa hai ne'amat-e-kaunain se daaman
gadaa huu.n mai.n faqiir-e-aastaan-e-KHud badaulat kaa
ilaahii baa'd-e-murdan parda-haa-e-haa.il uTh jaa.e.n
ujaalaa mere marqad me.n ho un kii sham'-e-qurbat kaa
sunaa hai roz-e-mahshar aap hii kaa mu.nh take.nge sab
kahaa.n puuraa hu.aa matlab dil-e-mushtaaq-e-ruuyat kaa
hame.n bhii yaad rakhnaa sakinaan-e-khuucha-e-jaanaa.n
salaam-e-shauq pahu.nche be-kasaan-e-dast-e-Gurbat kaa
'hasan' sarkaar-e-taiba kaa 'ajab darbaar-e-'aalii hai
dar-e-daulat pe ik melaa lagaa hai ahl-e-haajat kaa

- Book : naat ke chand shora-e-motaqidin (Pg. 114)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.