kahun kya wahshat-e-virana-paimai kahan tak hai
kahūñ kyā vahshat-e-vīrāna-paimā.ī kahāñ tak hai
ki vus.at mere sahrā kī makāñ se lā-makāñ tak hai
agar chāhūñ nizām-e-dahr ko zer-o-zabar kar duuñ
mire jazbāt kā tūfāñ zamīñ se āsmāñ tak hai
tere miTne meñ ai dil zindagī kā raaz muzmar hai
hrās-e-niyyatī āġhāz-e-vaqt-e-imtihāñ tak hai
satātā hai mujhe sayyād zālim is liye shāyad
ki raunaq us ke gulshan kī mire shaġhl-e-fuġhāñ tak hai
faroġh-e-hasrat-o-ġham se jigar meñ daaġh rakhtā huuñ
mire gulshan kī zīnat daur-e-hañgām-e-ḳhizāñ tak hai
'valī' shāmil nahīñ ho tum abhī rindoñ ke halqe meñ
tumhārī bāda-noshī mahfil-e-pīr-e-muġhāñ tak hai
kahun kya wahshat-e-virana-paimai kahan tak hai
ki wusat mere sahra ki makan se la-makan tak hai
agar chahun nizam-e-dahr ko zer-o-zabar kar dun
mere jazbaat ka tufan zamin se aasman tak hai
tere miTne mein ai dil zindagi ka raaz muzmar hai
hras-e-niyyati aaghaz-e-waqt-e-imtihan tak hai
satata hai mujhe sayyaad zalim is liye shayad
ki raunaq us ke gulshan ki mere shaghl-e-fughan tak hai
farogh-e-hasrat-o-gham se jigar mein dagh rakhta hun
mere gulshan ki zinat daur-e-hangam-e-KHizan tak hai
'wali' shamil nahin ho tum abhi rindon ke halqe mein
tumhaari baada-noshi mahfil-e-pir-e-mughan tak hai
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 189)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.