sau dagh tamannaon ke hum khae hue hain
sau daaġh tamannāoñ ke ham khaa.e hue haiñ
gul jitne haiñ us baaġh meñ murjhā.e hue haiñ
sharminda huuñ maiñ apnī duāoñ ke asar se
vo aaj pareshān haiñ ghabrā.e hue haiñ
ab tum bhī zarā husn jahāñ soz ko roko
ham to dil-e-be-tāb ko samjhā.e hue haiñ
sau dagh tamannaon ke hum khae hue hain
gul jitne hain us bagh mein murjhae hue hain
sharminda hun main apni duaon ke asar se
wo aaj pareshan hain ghabrae hue hain
ab tum bhi zara husn jahan soz ko roko
hum to dil-e-be-tab ko samjhae hue hain
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.II (Pg. 265)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.