kaho dair-o-haram ya nam apna aastan rakh do
kaho dair-o-haram yā naam apnā āstāñ rakh do
sar-e-taslīm ḳham hai tum jahāñ chāho vahāñ rakh do
tasallī dene vaalo ham tahī-dastān-e-qismat haiñ
sar-e-dāman jo mumkin ho to dil kī dhajjiyāñ rakh do
ḳhudā kahlāo yā kuchh aur sab kuchh mujh ko kahnā hai
idhar aao mare muñh meñ tumhīñ apnī zabāñ rakh do
vafā kā raaz is majma.a meñ kholā jā nahīñ saktā
sivā mahshar ke koī aur roz-e-imtihāñ rakh do
mohabbat aur tasallī us pe hosh-e-zindagī 'kaifī'
nahīñ uThtā agar kāñdhe se ye bār-e-girāñ rakh do
kaho dair-o-haram ya nam apna aastan rakh do
sar-e-taslim KHam hai tum jahan chaho wahan rakh do
tasalli dene walo hum tahi-dastan-e-qismat hain
sar-e-daman jo mumkin ho to dil ki dhajjiyan rakh do
KHuda kahlao ya kuchh aur sab kuchh mujh ko kahna hai
idhar aao mare munh mein tumhin apni zaban rakh do
wafa ka raaz is majma mein khola ja nahin sakta
siwa mahshar ke koi aur roz-e-imtihan rakh do
mohabbat aur tasalli us pe hosh-e-zindagi 'kaifi'
nahin uThta agar kandhe se ye bar-e-giran rakh do
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.II (Pg. 265)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.