KHum subu saghar surahi jam paimana mera
ḳhum subū sāġhar surāhī jaam paimāna mirā
mere saaqī jab mirā tū hai to mai-ḳhāna mirā
be-niyāzāna tabī.at dil hai shāhāna mirā
bhes to yuuñ dekhne ko hai faqīrāna mirā
har taraf mashq-e-tasavvur se hai naqsha yaar kā
mere haq meñ jannat-ul-māvā hai kāshāna mirā
tum yahāñ kyā aa.e goyā ik ḳhudā.ī aa ga.ī
aaj to ik mahsharistāñ hai jalva-ḳhana mirā
sāz-o-sāmāñ haiñ merī ye be-sar-o-sāmāniyāñ
bāġh-e-jannat se bhī achchhā hai ye vīrāna mirā
ba.ad muddat ke huī hai qadr ab kahte haiñ vo
aaj tak merā hī dīvāna hai dīvāna mirā
dushman apnā aap huuñ maiñ dost apnā aap huuñ
koī duniyā meñ yagāna hai na be-gāna mirā
maiñ ye kahtā huuñ parā.ī-āg meñ girtā hai kaun
sham.a kahtī hai magar aisā hī parvāna mirā
dard-e-dil merā huā hai bā.is-e-ārām-e-yār
niiñd aane ke liye suntā hai afsāna mirā
ai ḳhummār-e-vasl ab to sar uThāne de mujhe
ho gayā taḌkā hilātā hai koī shāna mirā
sher kyā na.ara bhī sun-kar kahte haiñ 'kaifī' hai ye
chhup nahīñ saktā kahīñ andāz-e-mastāna mirā
KHum subu saghar surahi jam paimana mera
mere saqi jab mera tu hai to mai-KHana mera
be-niyazana tabiat dil hai shahana mera
bhes to yun dekhne ko hai faqirana mera
har taraf mashq-e-tasawwur se hai naqsha yar ka
mere haq mein jannat-ul-mawa hai kashana mera
tum yahan kya aae goya ek KHudai aa gai
aaj to ek mahsharistan hai jalwa-KHana mera
saz-o-saman hain meri ye be-sar-o-samaniyan
bagh-e-jannat se bhi achchha hai ye virana mera
baad muddat ke hui hai qadr ab kahte hain wo
aaj tak mera hi diwana hai diwana mera
dushman apna aap hun main dost apna aap hun
koi duniya mein yagana hai na be-gana mera
main ye kahta hun parai-ag mein girta hai kaun
shama kahti hai magar aisa hi parwana mera
dard-e-dil mera hua hai bais-e-aram-e-yar
nind aane ke liye sunta hai afsana mera
ai KHummar-e-wasl ab to sar uThane de mujhe
ho gaya taDka hilata hai koi shana mera
sher kya nara bhi sun-kar kahte hain 'kaifi' hai ye
chhup nahin sakta kahin andaz-e-mastana mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.