ab bhi shaida hai zamane ka zamana tera
ab bhī shaidā hai zamāne kā zamāna terā
haaye din sin vo tire uf vo zamāna terā
ek saaqī ke na hone se hai kyā be-lutfī
ki nahīñ rañg vo ai bazm-e-shabāna terā
zid laḌakpan kī ga.ī ab hai javānī kā ġhurūr
na rahā vo na rahegā ye zamāna terā
dil-e-be-tāb sambhal ḳhauf hai rusvā.ī kā
haal dekhe na koī muztaribāna terā
kah de kah de ki ham aa jā.eñge inshā-allāh
go irāda na sahīh mustaqilānā terā
dil churāyā hai mirā kis ne ḳhudā hī jaane
naam letā hai koī be-adbāna terā
maiñ bahī-ḳhvāh jahāñ aur jahāñ merā adū
tū zamāne se ḳhafā aur zamāna terā
hotī haiñ āshiq-o-ma.ashūq meñ jo jo bāteñ
vo kahānī hai mirī yā hai fasāna terā
merī sauteñ aur ik tirī be-parvā.ī
laakh shikve mire aur ek bahāna terā
rañj-o-rāhat ke maze sabko kam-o-besh mileñ
ġhair kā saath mirā haath ho shāna terā
mujh se kuchh kam nahīñ ai ishq tirī rusvā.ī
jis se suniye vo sunātā hai fasāna terā
mujh ko tāḳhīr kā shikva nahīñ haañ aur suno
ā.īna terā hai zulfeñ terī shāna terā
kis se shikva hai shikāyat hai ye kis se 'kaifī'
koī be-gāna yahāñ hai na yagāna terā
ab bhi shaida hai zamane ka zamana tera
haye din sin wo tere uf wo zamana tera
ek saqi ke na hone se hai kya be-lutfi
ki nahin rang wo ai bazm-e-shabana tera
zid laDakpan ki gai ab hai jawani ka ghurur
na raha wo na rahega ye zamana tera
dil-e-be-tab sambhal KHauf hai ruswai ka
haal dekhe na koi muztaribana tera
kah de kah de ki hum aa jaenge insha-allah
go irada na sahih mustaqilana tera
dil churaya hai mera kis ne KHuda hi jaane
nam leta hai koi be-adbana tera
main bahi-KHwah jahan aur jahan mera adu
tu zamane se KHafa aur zamana tera
hoti hain aashiq-o-mashuq mein jo jo baaten
wo kahani hai meri ya hai fasana tera
meri sauten aur ek teri be-parwai
lakh shikwe mere aur ek bahana tera
ranj-o-rahat ke maze sabko kam-o-besh milen
ghair ka sath mera hath ho shana tera
mujh se kuchh kam nahin ai ishq teri ruswai
jis se suniye wo sunata hai fasana tera
mujh ko taKHir ka shikwa nahin han aur suno
aaina tera hai zulfen teri shana tera
kis se shikwa hai shikayat hai ye kis se 'kaifi'
koi be-gana yahan hai na yagana tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.