dosti nibh jae un se ibtida aisi to ho
dostī nibh jaa.e un se ibtidā aisī to ho
ibtidā aisī na ho to intihā aisī to ho
ham meñ aur un meñ mohabbat yā ḳhudā aisī to ho
jo sune vo bol uTThe mehr-o-vafā aisī to ho
rahm us be-rahm ko aa jaa.e mujh ko dekh kar
kuchh qusūr aisā to ho koī ḳhatā aisī to ho
vajd meñ hoñ ahl-e-nazāra mile qātil ko daad
kuchh taḌap ai kushta-e-teġh-e-adā aisī to ho
tishna phir jaa.e sikandar aap ḳhud sairāb hoñ
rahnumā.ī vaah kHir-e-rahnumā aisī to ho
vo ye kahte haiñ kaho ab ham na chāheñge tumheñ
jī phaḌak uTThā hamārā bhī jafā aisī to ho
arz-e-matlab par ye shoḳhī ye tabassum dekhnā
ḳhāmushī meñ bazla-sanjī kī adā aisī to ho
bāhamī takrār yā-rab hote hote rah na jaa.e
kuchh maza aa jaa.e aapas meñ zarā aisī to ho
ham marīz-e-hijr nā-haq marte-marte bach ga.e
ab ke aisā to na ho koī davā aisī to ho
mudda.ā donoñ kā hai ma.alūm donoñ ko magar
guftugū se bhī ho vāzeh barmalā aisī to ho
dil kī dil meñ ghuT ke rah jaa.e to phir ik baat hai
aah lab tak bhī na aa.e nā-rasā aisī to ho
baḳhshne vaale ko apnī aisī baḳhshish par ho naaz
yā ilāhal-ālamīn mujh se ḳhatā aisī to ho
tamkanat meñ sādgī iġhmāz meñ sanjīdgī
naaz meñ andāz shoḳhī meñ adā aisī to ho
kūcha-e-qātil meñ mujh ko gher kar laa.ī hai ye
jiite jī jannat meñ pahuñchā de qazā aisī to ho
mai jahāñ uḌtī thī 'kaifī' ab vahāñ uḌtī hai ḳhaak
phir vo din aa.e zamāne kī havā aisī to ho
dosti nibh jae un se ibtida aisi to ho
ibtida aisi na ho to intiha aisi to ho
hum mein aur un mein mohabbat ya KHuda aisi to ho
jo sune wo bol uTThe mehr-o-wafa aisi to ho
rahm us be-rahm ko aa jae mujh ko dekh kar
kuchh qusur aisa to ho koi KHata aisi to ho
wajd mein hon ahl-e-nazara mile qatil ko dad
kuchh taDap ai kushta-e-tegh-e-ada aisi to ho
tishna phir jae sikandar aap KHud sairab hon
rahnumai wah kHir-e-rahnuma aisi to ho
wo ye kahte hain kaho ab hum na chahenge tumhein
ji phaDak uTTha hamara bhi jafa aisi to ho
arz-e-matlab par ye shoKHi ye tabassum dekhna
KHamushi mein bazla-sanji ki ada aisi to ho
bahami takrar ya-rab hote hote rah na jae
kuchh maza aa jae aapas mein zara aisi to ho
hum mariz-e-hijr na-haq marte-marte bach gae
ab ke aisa to na ho koi dawa aisi to ho
muddaa donon ka hai malum donon ko magar
guftugu se bhi ho wazeh barmala aisi to ho
dil ki dil mein ghuT ke rah jae to phir ek baat hai
aah lab tak bhi na aae na-rasa aisi to ho
baKHshne wale ko apni aisi baKHshish par ho naz
ya ilahal-alamin mujh se KHata aisi to ho
tamkanat mein sadgi ighmaz mein sanjidgi
naz mein andaz shoKHi mein ada aisi to ho
kucha-e-qatil mein mujh ko gher kar lai hai ye
jite ji jannat mein pahuncha de qaza aisi to ho
mai jahan uDti thi 'kaifi' ab wahan uDti hai KHak
phir wo din aae zamane ki hawa aisi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.