kalam-e-rind mein aksar haqiqat aa hi jati hai
kalām-e-rind meñ aksar haqīqat aa hī jaatī hai
husn ik chiiz hai aisī tabī'at aa hī jaatī hai
hazāroñ masjideñ hoñ jannateñ hoñ 'arsh hoñ lekin
na ho pesh-e-nazar dilbar qiyāmat aa hī jaatī hai
ka.ī nā-kāmiyāñ mahrūmiyāñ rusvā.iyāñ lekar
'umūman ḳhāna-e-dil meñ mohabbat aa hī jaatī hai
ḳhudī ḳhud-e'timādī meñ badal jaa.e to bandoñ ko
ḳhudā se sar-kashī karne kī naubat aa hī jaatī hai
zabān-e-’ishq gar samjhā.e farmān-e-kHudāvandī
to mai-ḳhāne kī zad meñ phir sharī'at aa hī jaatī hai
faqīr-e-‘qādrī’ jo dekhte haiñ chashm-e-bīnā se
to bande ko ḳhudā kahne kī jur.at aa hī jaatī hai
kalam-e-rind mein aksar haqiqat aa hi jati hai
husn ek chiz hai aisi tabi'at aa hi jati hai
hazaron masjiden hon jannaten hon 'arsh hon lekin
na ho pesh-e-nazar dilbar qiyamat aa hi jati hai
kai na-kaamiyan mahrumiyan ruswaiyan lekar
'umuman KHana-e-dil mein mohabbat aa hi jati hai
KHudi KHud-e'timadi mein badal jae to bandon ko
KHuda se sar-kashi karne ki naubat aa hi jati hai
zaban-e-’ishq gar samjhae farman-e-kHudawandi
to mai-KHane ki zad mein phir shari'at aa hi jati hai
faqir-e-‘qadri’ jo dekhte hain chashm-e-bina se
to bande ko KHuda kahne ki jurat aa hi jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.