firaq-e-bich koi dekhe hai bahaar-e-chaman
firāq-e-bīch koī dekhe hai bahār-e-chaman
huī hai jannat-e-a.alā hajīm ke mānind
mile jo mardum-e-bīnā suuñ ahl-e-chashm koī
palak meñ pahuñche falak par nigāh ke mānind
faroġh-e-sub.h tabassum kā us kī gar dekhe
tamām zarra hove āftāb ke mānind
ye zohd-e-ḳhushk ko apne dikhāve hai dariyā
fareb deve hai zāhid sarāb ke mānind
fuġhāñ ko sun ke mirī aah kis ko taab rahe
agarche kāñpūñ huuñ tār-e-rubāb ke mānind
firaq-e-bich koi dekhe hai bahaar-e-chaman
hui hai jannat-e-ala hajim ke manind
mile jo mardum-e-bina sun ahl-e-chashm koi
palak mein pahunche falak par nigah ke manind
farogh-e-subh tabassum ka us ki gar dekhe
tamam zarra howe aaftab ke manind
ye zohd-e-KHushk ko apne dikhawe hai dariya
fareb dewe hai zahid sarab ke manind
fughan ko sun ke meri aah kis ko tab rahe
agarche kanpun hun tar-e-rubab ke manind
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.