tumhin kah do tumhaare dar se diwane kahan jaen
tumhīñ kah do tumhāre dar se dīvāne kahāñ jaa.eñ
yahāñ jab sham.a raushan hai to parvāne kahāñ jaa.eñ
ḳhushī se band kar deñ mai-kade sarkār mālik haiñ
magar ye to kaheñ ham dil ko bahlāne kahāñ jaa.eñ
bajā irshād farmāyā ki mai-noshī nahii. achchhī
zarā ye bhī batā deñ ham sukūñ paane kahāñ jaa.eñ
hameñ dair-o-haram se kuchh adāvat to nahīñ nāseh
magar har samt rāhoñ meñ haiñ but-ḳhāne kahāñ jaa.eñ
jahāñ se mil gayā hai silsila rāh-e-tarīqat kā
'kamāl' us āstāñ se uTh ke dīvāne kahāñ jaa.eñ
tumhin kah do tumhaare dar se diwane kahan jaen
yahan jab shama raushan hai to parwane kahan jaen
KHushi se band kar den mai-kade sarkar malik hain
magar ye to kahen hum dil ko bahlane kahan jaen
baja irshad farmaya ki mai-noshi nahi achchhi
zara ye bhi bata den hum sukun pane kahan jaen
hamein dair-o-haram se kuchh adawat to nahin naseh
magar har samt rahon mein hain but-KHane kahan jaen
jahan se mil gaya hai silsila rah-e-tariqat ka
'kamal' us aastan se uTh ke diwane kahan jaen
- Book : Silsila-e-Warisiya ke makhsoos Shora-e-kram (Pg. 100)
- Author : Dr.Kabiruddin Khan Warsi
- Publication : Eram Printers, Dariyapur,Patna, (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.