mariz-e-ishq pe kya kya teri jafa na hui
marīz-e-ishq pe kyā kyā tirī jafā na huī
vo kaun sā hai sitam jis kī intihā na huī
jahān-e-ishq meñ rusvā kabhī vafā na huī
mirī zabāñ kabhī shikvoñ se āshnā na huī
navā-e-dil kabhī tāsīr se judā na huī
dar-e-qubūl se vāpas merī duā na huī
milī bahisht to kyā jab vahī hijāb rahā
jazā-e-husn-e-amal zauq-e-āshnā na huī
vo aql kyā hai jo dīvāna-pan meñ kho na ga.ī
vo ruuh kyā jo tere ishq meñ fanā na huī
zabāñ par ye baḌā zulm hogā ai 'kāmil'
merī ġhazal pe agar aaj vāh-vā na hoī
mariz-e-ishq pe kya kya teri jafa na hui
wo kaun sa hai sitam jis ki intiha na hui
jahan-e-ishq mein ruswa kabhi wafa na hui
meri zaban kabhi shikwon se aashna na hui
nawa-e-dil kabhi tasir se juda na hui
dar-e-qubul se wapas meri dua na hui
mili bahisht to kya jab wahi hijab raha
jaza-e-husn-e-amal zauq-e-ashna na hui
wo aql kya hai jo diwana-pan mein kho na gai
wo ruh kya jo tere ishq mein fana na hui
zaban par ye baDa zulm hoga ai 'kaamil'
meri ghazal pe agar aaj wah-wa na hoi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.