jo dil ho jalwa-gah-e-naz is mein gham nahin hota
jo dil ho jalva-gāh-e-nāz is meñ ġham nahīñ hotā
jahāñ sarkār hote haiñ vahāñ mātam nahīñ hotā
havas āḳhir havas Thahrī havas kā zikr hī kyā hai
magar jab ishaq ho jaatā hai phir vo kam nahīñ hotā
jigar ke zaḳhm bharte haiñ na dil ke daaġh miTte haiñ
mohabbat kī jarāhat kā kahīñ marham nahīñ hotā
maqām-e-qarb meñ bhī haiñ vahī be-tābiyāñ baaqī
kisī manzil meñ ho dil kā taḌapnā kam nahīñ hotā
ġhurūr-e-abdiyat bhī allāh allāh kuchh ajab shai hai
tire dar ke sivā ye sar kahīñ bhī ḳham nahīñ hotā
taḌapne se zarā sā mil to jaatā hai sakoñ 'kāmil'
magar is tarah dard-e-dil kisī kā kam nahīñ hotā
jo dil ho jalwa-gah-e-naz is mein gham nahin hota
jahan sarkar hote hain wahan matam nahin hota
hawas aaKHir hawas Thahri hawas ka zikr hi kya hai
magar jab ishaq ho jata hai phir wo kam nahin hota
jigar ke zaKHm bharte hain na dil ke dagh miTte hain
mohabbat ki jarahat ka kahin marham nahin hota
maqam-e-qarb mein bhi hain wahi be-tabiyan baqi
kisi manzil mein ho dil ka taDapna kam nahin hota
ghurur-e-abdiyat bhi allah allah kuchh ajab shai hai
tere dar ke siwa ye sar kahin bhi KHam nahin hota
taDapne se zara sa mil to jata hai sakon 'kaamil'
magar is tarah dard-e-dil kisi ka kam nahin hota
- Book : Wardat-e-Kamil Diwan-e-Kamil (Pg. 22)
- Author : Kamil Shattari
- Publication : Kamil Academy (1962)
- Edition : 4th
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.