luTe na kyun dil-e-kaunain ya gharib-nawaz
luTe na kyuuñ dil-e-kaunain yā ġharīb-navāz
ze-farq tā ba-qadam har adā ġharīb-navāz
merī nazar meñ hai rauza tirā ġharīb-navāz
nigāh-e-shauq hai qibla-numā ġharīb-navāz
tirā vajūd hai jān-e-bahār-e-gulshan-e-chisht
tujhī se nikhat-e-har-gul hai yā ġharīb-navāz
rasūl-e-haq kī atā aur tum a.tā-e-rasūl
jo tum mile to sabhī kuchh milā ġharīb-navāz
tumhāre dar se hazāroñ ġharīb palte haiñ
tumhāre kūche kī saarī fazā ġharīb-navāz
tumhārā dard hai sarmāya-e-hayāt mirā
ḳhudā kare ki ye ho lā-davā ġharīb-navāz
ba-haq-e-kHvāja-e-usmāñ idhar bhī chashm-e-karam
tumhāre dar kā huuñ maiñ bhī gadā ġharīb-navāz
samajh meñ aa.egā imdād kaise hotī hai
zarā taḌap ke pukāro to yā ġharīb-navāz
ziyā haiñ sha.m-e-risālat kī naam kuchh bhī sahī
mujhe to ek haiñ ġhausul-varā ġharīb-navāz
huzūr aap kā aisā bhī ik ġhulām sahī
panāh dījiye 'kāmil' ko yā ġharīb-navāz
luTe na kyun dil-e-kaunain ya gharib-nawaz
ze-farq ta ba-qadam har ada gharib-nawaz
meri nazar mein hai rauza tera gharib-nawaz
nigah-e-shauq hai qibla-numa gharib-nawaz
tera wajud hai jaan-e-bahaar-e-gulshan-e-chisht
tujhi se nikhat-e-har-gul hai ya gharib-nawaz
rasul-e-haq ki ata aur tum ata-e-rasul
jo tum mile to sabhi kuchh mila gharib-nawaz
tumhaare dar se hazaron gharib palte hain
tumhaare kuche ki sari faza gharib-nawaz
tumhaara dard hai sarmaya-e-hayat mera
KHuda kare ki ye ho la-dawa gharib-nawaz
ba-haq-e-kHwaja-e-usman idhar bhi chashm-e-karam
tumhaare dar ka hun main bhi gada gharib-nawaz
samajh mein aaega imdad kaise hoti hai
zara taDap ke pukaro to ya gharib-nawaz
ziya hain sham-e-risalat ki nam kuchh bhi sahi
mujhe to ek hain ghausul-wara gharib-nawaz
huzur aap ka aisa bhi ek ghulam sahi
panah dijiye 'kaamil' ko ya gharib-nawaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.