hum jo kisi ke ho gae hum jo kisi par mar gae
ham jo kisī ke ho ga.e ham jo kisī par mar ga.e
apnī tamām umr meñ kaam yahī to kar ga.e
dil ke nasīb jaag uThe tār-e-nazar sañvar ga.e
aap jahāñ-jahāñ rahe aap jidhar jidhar ga.e
husn ko jin pe naaz thā jab se vo dīda-var ga.e
kitne hī chehre phuul se zard paḌe utar ga.e
jab na ho koī qadr-dāñ fasl-e-bahār bhī ḳhizāñ
ġhunche chaTak ke rah ga.e phuul khile bikhar ga.e
DhūñDh rahī hai bār-bār un kī nigāh-e-sogvār
ahl-e-vafā vo kyā hue ahl-e-nazar kidhar ga.e
husn vahī adā vahī jalva vahī fazā vahī
kis se nazar kī daad luuñ haaye vo ham-nazar ga.e
ik dar-e-yār ke sivā kuchh na kahīñ sukūñ milā
jaane kahāñ kahāñ phire jaane kidhar kidhar ga.e
apnī to maut aur hayāt un kī bas ik nazar kī baat
ek nazar meñ jī uThe ek nazar meñ mar ga.e
'kāmil' usī pe chhoḌ de dast-e-duā ko toḌ de
sabr se ab bhī kaam le naale to be-asar ga.e
hum jo kisi ke ho gae hum jo kisi par mar gae
apni tamam umr mein kaam yahi to kar gae
dil ke nasib jag uThe tar-e-nazar sanwar gae
aap jahan-jahan rahe aap jidhar jidhar gae
husn ko jin pe naz tha jab se wo dida-war gae
kitne hi chehre phul se zard paDe utar gae
jab na ho koi qadr-dan fasl-e-bahaar bhi KHizan
ghunche chaTak ke rah gae phul khile bikhar gae
DhunDh rahi hai bar-bar un ki nigah-e-sogwar
ahl-e-wafa wo kya hue ahl-e-nazar kidhar gae
husn wahi ada wahi jalwa wahi faza wahi
kis se nazar ki dad lun haye wo ham-nazar gae
ek dar-e-yar ke siwa kuchh na kahin sukun mila
jaane kahan kahan phire jaane kidhar kidhar gae
apni to maut aur hayat un ki bas ek nazar ki baat
ek nazar mein ji uThe ek nazar mein mar gae
'kaamil' usi pe chhoD de dast-e-dua ko toD de
sabr se ab bhi kaam le nale to be-asar gae
- Book : Waardat-e-Kamil (Pg. 257)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.