dil mein dhaDkan hai na aankhon mein nazar baqi hai
dil meñ dhaḌkan hai na āñkhoñ meñ nazar baaqī hai
phir bhī sab kuchh hai ġham-e-yār agar baaqī hai
aur kuchh luuT le uftād-e-mohabbat ke maze
kuchh tamāshā jo abhī sho.abda-gar baaqī hai
ham kisī aur kī dahlīz pe sar kyuuñ phoḌeñ
sar-e-saudā-zada baaqī tirā dar baaqī hai
quvvat-e-’ishq pe takiya bhī hai tauhīn-e-niyāz
kyuuñ abhī tak mirī aahoñ meñ asar baaqī hai
jitne dar band haiñ allāh kare band raheñ
tere bandoñ ke liye jab tirā dar baaqī hai
aur kuchh haqq-e-junūñ hai to adā kar deñge
ek bhī taar garebāñ meñ agar baaqī hai
pastī-e-aqal hai tārīki-e-qismat kā savāl
shab ye kahtī hai ki hañgām-e-sahar baaqī hai
aib ko aib samajhnā to na.ī baat nahīñ
aib ye bhī hai ki ehsās-e-hunar baaqī hai
beḌiyāñ kaT ga.iiñ har pā-e-nigah kī 'kāmil'
ab to be-qaid bas ik zauq-e-nazar baaqī hai
dil mein dhaDkan hai na aankhon mein nazar baqi hai
phir bhi sab kuchh hai gham-e-yar agar baqi hai
aur kuchh luT le uftad-e-mohabbat ke maze
kuchh tamasha jo abhi shoabda-gar baqi hai
hum kisi aur ki dahliz pe sar kyun phoDen
sar-e-sauda-zada baqi tera dar baqi hai
quwwat-e-’ishq pe takiya bhi hai tauhin-e-niyaz
kyun abhi tak meri aahon mein asar baqi hai
jitne dar band hain allah kare band rahen
tere bandon ke liye jab tera dar baqi hai
aur kuchh haqq-e-junun hai to ada kar denge
ek bhi tar gareban mein agar baqi hai
pasti-e-aqal hai tariki-e-qismat ka sawal
shab ye kahti hai ki hangam-e-sahar baqi hai
aib ko aib samajhna to nai baat nahin
aib ye bhi hai ki ehsas-e-hunar baqi hai
beDiyan kaT gain har pa-e-nigah ki 'kaamil'
ab to be-qaid bas ek zauq-e-nazar baqi hai
- Book : Wardat-e-Kamil (Pg. 204)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.