tum apne ko KHud apne hi jalwon mein chhupa ke
tum apne ko ḳhud apne hī jalvoñ meñ chhupā ke
dekho na tamāsha mujhe dīvāna banā ke
mahrūm karam ho ga.e kyuuñ hosh meñ aake
bhūke the abhī ham tire dāman kī havā ke
tā nigah-e-shauq kī ḳhātir ho jo parda
farmā.e dekhūñ kise phir us ko haTā ke
nā-qābil-e-tarmīm hai dastūr-e-mohabbat
ahkām badalte nahīñ qānūn-e-vafā ke
khulnā hai pas-e-pursa haqīqat ko bhī ik din
kheloge kahāñ tak mujhe afsāna banā ke
majnūñ hī ke jalvoñ kā tamāsha nazar aayā
dekhā jo naqāb-e-ruḳh-e-līlā ko haTā ke
kam-zarf nahīñ huuñ ki bahak jā.ūñ nazar se
ik tajraba kar lījiye ye mai bhī pilā ke
har chand hai dāġhoñ se gulistāñ mirā siina
tum phir bhī to ma.asūm ho gul itne khilā ke
haiñ merī nigāhoñ pe hazāroñ kī nigāheñ
dekhūñ tumheñ kis kis kī nigāhoñ se bachā ke
har chiiz mashiyyat kā nishāna haiñ vo 'kāmil'
saḳhtī se jo pāband haiñ ādāb-e-vafā ke
tum apne ko KHud apne hi jalwon mein chhupa ke
dekho na tamasha mujhe diwana bana ke
mahrum karam ho gae kyun hosh mein aake
bhuke the abhi hum tere daman ki hawa ke
ta nigah-e-shauq ki KHatir ho jo parda
farmae dekhun kise phir us ko haTa ke
na-qabil-e-tarmim hai dastur-e-mohabbat
ahkaam badalte nahin qanun-e-wafa ke
khulna hai pas-e-pursa haqiqat ko bhi ek din
kheloge kahan tak mujhe afsana bana ke
majnun hi ke jalwon ka tamasha nazar aaya
dekha jo naqab-e-ruKH-e-lila ko haTa ke
kam-zarf nahin hun ki bahak jaun nazar se
ek tajraba kar lijiye ye mai bhi pila ke
har chand hai daghon se gulistan mera sina
tum phir bhi to masum ho gul itne khila ke
hain meri nigahon pe hazaron ki nigahen
dekhun tumhein kis kis ki nigahon se bacha ke
har chiz mashiyyat ka nishana hain wo 'kaamil'
saKHti se jo paband hain aadab-e-wafa ke
- Book : Wardat-e-Kamil (Pg. 269)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.