kya ek nazar ki zahmat bhi ai jaan-e-jahan manzur nahin
kya ek nazar ki zahmat bhi ai jaan-e-jahan manzur nahin
Kamil Shattari
MORE BYKamil Shattari
kyā ek nazar kī zahmat bhī ai jān-e-jahāñ manzūr nahīñ
maiñ chāhe kisī qābil na sahī tere to karam se duur nahīñ
har-chand faqat muḳhtār nahīñ har-chand faqat majbūr nahīñ
ik aah to bhar luuñ apnī ḳhushī itnā bhī mujhe maqdūr nahīñ
haañ haq to adā kar letā huuñ ai dost tire har jalve kā
lekin maiñ dekhūñ tere sivā tauhīn-e-nazar manzūr nahīñ
hai jitnā taqarrub un se jise utnā hī kasā jaatā hai use
ā.īn-e-mohabbat sab se na.e phir koī nayā dastūr nahīñ
ye dāġh-e-mohabbat hai jab tak tārīk nahīñ māhaul mirā
har shab hai shab-e-mah mere liye koī bhī shab-e-daijūr nahīñ
ahvāl-e-darūñ kī insāñ ke ġhammāz nigāheñ hotī haiñ
āñkhoñ meñ nazar mastūr sahī āñkhoñ se nazar mastūr nahīñ
vo rāh-navard-e-shauq huuñ maiñ mushtāq haiñ rāheñ ḳhud merī
jab haath meñ dāman hai un kā phir koī bhī manzil duur nahīñ
dil jis kā na ho andhā us kī āñkheñ hoñ agar be-nūr to kyā
haañ us pe magar kuchh ġhaur kaaro dil hī to kahīñ be-nūr nahīñ
jo chāheñ kaheñ ye dīvāne ā.īn-e-vafā se begāne
mushrik huuñ agar qadmoñ pe tire sajdoñ ke liye māmūr nahīñ
jab maiñ hī na huuñ hotā hai koī paatā hai jahāñ khotā hai koī
kyā is meñ maqam-e-hairat hai yā jalva nahīñ yā tuur nahīñ
be-vaj.h nahīñ ye ashk ravāñ miltī haiñ mohabbat kī kaḌiyāñ
tum paas bhī ho kar paas nahīñ ham duur bhī rah kar duur nahīñ
har ghaav hai 'kāmil' muzda-e-nau har daaġh hayāt-e-ġham kī naved
jiine kā maza kyā ḳhaak mile zaḳhmoñ se agar dil chuur nahīñ
kya ek nazar ki zahmat bhi ai jaan-e-jahan manzur nahin
main chahe kisi qabil na sahi tere to karam se dur nahin
har-chand faqat muKHtar nahin har-chand faqat majbur nahin
ek aah to bhar lun apnī KHushi itna bhi mujhe maqdur nahin
han haq to ada kar leta hun ai dost tere har jalwe ka
lekin main dekhun tere siwa tauhin-e-nazar manzur nahin
hai jitna taqarrub un se jise utna hi kasa jata hai use
aain-e-mohabbat sab se nae phir koi naya dastur nahin
ye dagh-e-mohabbat hai jab tak tarik nahin mahaul mera
har shab hai shab-e-mah mere liye koi bhi shab-e-daijur nahin
ahwal-e-darun ki insan ke ghammaz nigahen hoti hain
aankhon mein nazar mastur sahi aankhon se nazar mastur nahin
wo rah-naward-e-shauq hun main mushtaq hain rahen KHud meri
jab hath mein daman hai un ka phir koi bhi manzil dur nahin
dil jis ka na ho andha us ki aankhen hon agar be-nur to kya
han us pe magar kuchh ghaur karo dil hi to kahin be-nur nahin
jo chahen kahen ye diwane aain-e-wafa se begane
mushrik hun agar qadmon pe tere sajdon ke liye mamur nahin
jab main hi na hun hota hai koi pata hai jahan khota hai koi
kya is mein maqam-e-hairat hai ya jalwa nahin ya tur nahin
be-wajh nahin ye ashk rawan milti hain mohabbat ki kaDiyan
tum pas bhi ho kar pas nahin hum dur bhi rah kar dur nahin
har ghaw hai 'kaamil' muzda-e-nau har dagh hayat-e-gham ki nawed
jine ka maza kya KHak mile zaKHmon se agar dil chur nahin
- Book : Wardat-e-Kamil Diwan-e-Kamil (Pg. 133)
- Author : Kamil Shattari
- Publication : Kamil Academy (1962)
- Edition : 4th
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.