tamanna do dilon ki ek hi malum hoti hai
tamannā do diloñ kī ek hī ma.alūm hotī hai
ab un kī har ḳhushī apnī ḳhushī ma.alūm hotī hai
diloñ par sab ke ik afsurdagī ma.alūm hotī hai
tirī mahfil meñ ye kis kī kamī ma.alūm hotī hai
samajh kī chaal chal jaatā hai dīvāna mohabbat kā
ba-zāhir vo bhī ik dīvāngī ma.alūm hotī hai
bajā hañstā hai gar hañstā hai koī mere jiine par
mujhe ḳhud zindagī apnī hañsī ma.alūm hotī hai
jahāñ qudrat kisī se pher letī hai nazar apnī
vahīñ insān kī be-mā.egī ma.alūm hotī hai
yaqīñ mohkam azā.em āhanī sa.ī-o-amal paiham
unhīñ se aadmī kī zindagī ma.alūm hotī hai
kamīne ruḳh badalte haiñ havā par to kamīne haiñ
sharīfoñ meñ ye kamzorī burī ma.alūm hotī hai
zarā Thahro mire aañsū to puure ḳhushk hone do
abhī āñkhoñ meñ thoḌī sī namī ma.alūm hotī hai
udhar to aa zarā muñh chuum luuñ qurbān ho jā۔ūñ
adā-e-barhamī bhī kyā bhalī ma.alūm hotī hai
yahī dil kī lagī kyā jaane kyā kyā rañg lā.egī
abhī to aap ko ik dil-lagī ma.alūm hotī hai
kisī kā har tabassum dil ke haq meñ ghaav hai taaza
purānī choT bhī ubhrī huī ma.alūm hotī hai
khilaunā hai dil-e-majbūr-ulfat un ke hāthoñ kā
mohabbat kī usī se sādgī ma.alūm hotī hai
ghasīTe jaate haiñ kāñToñ meñ un ke chāhne vaale
ḳhudā jaane mohabbat kyuuñ burī ma.alūm hotī hai
jabīn-e-shauq kā jab rābta ho un ke qadmoñ se
unhīñ sajdoñ meñ shān-e-bandagī ma.alūm hotī hai
tasarruf diid ke qābil hai 'kāmil' chashm-e-sāqī kā
nazar milte hī duniyā dūsrī ma.alūm hotī hai
tamanna do dilon ki ek hi malum hoti hai
ab un ki har KHushi apnī KHushi malum hoti hai
dilon par sab ke ek afsurdagi malum hoti hai
teri mahfil mein ye kis ki kami malum hoti hai
samajh ki chaal chal jata hai diwana mohabbat ka
ba-zahir wo bhi ek diwangi malum hoti hai
baja hansta hai gar hansta hai koi mere jine par
mujhe KHud zindagi apnī hansi malum hoti hai
jahan qudrat kisi se pher leti hai nazar apnī
wahin insan ki be-maegi malum hoti hai
yaqin mohkam azaem aahani sai-o-amal paiham
unhin se aadmi ki zindagi malum hoti hai
kamine ruKH badalte hain hawa par to kamine hain
sharifon mein ye kamzori buri malum hoti hai
zara Thahro mere aansu to pure KHushk hone do
abhi aankhon mein thoDi si nami malum hoti hai
udhar to aa zara munh chum lun qurban ho ja۔un
ada-e-barhami bhi kya bhali malum hoti hai
yahi dil ki lagi kya jaane kya kya rang laegi
abhi to aap ko ek dil-lagi malum hoti hai
kisi ka har tabassum dil ke haq mein ghaw hai taza
purani choT bhi ubhri hui malum hoti hai
khilauna hai dil-e-majbur-ulfat un ke hathon ka
mohabbat ki usi se sadgi malum hoti hai
ghasiTe jate hain kanTon mein un ke chahne wale
KHuda jaane mohabbat kyun buri malum hoti hai
jabin-e-shauq ka jab rabta ho un ke qadmon se
unhin sajdon mein shan-e-bandagi malum hoti hai
tasarruf did ke qabil hai 'kaamil' chashm-e-saqi ka
nazar milte hi duniya dusri malum hoti hai
- Book : Wardat-e-Kamil Diwan-e-Kamil (Pg. 233)
- Author : Kamil Shattari
- Publication : Kamil Academy (1962)
- Edition : 4th
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.