pareshani jo thi likhi hui apne muqaddar mein
pareshani jo thi likhi hui apne muqaddar mein
Kunwar Sukhraj Bahadur ‘Rahmati’
MORE BYKunwar Sukhraj Bahadur ‘Rahmati’
pareshānī jo thī likhī huī apne muqaddar meñ
na hotī kis tarah shaudā-e-gesū kī jagah sar meñ
yahīñ tak dostī ahl-e-zamāna kī hai jo kuchh hai
koī sūrat bhī phir apnī na pahchānegā mahshar meñ
dikhā kar vo ga.e haiñ jab se apnī zulf shab-gūñ ko
añdherā sā nazar aatā hai mujh ko har taraf ghar meñ
ye guldasta hamārā chhip gayā hai 'rahmatī' ab to
rahegā yād-gār apnā pas-e-murdan bhī har ghar meñ
pareshani jo thi likhi hui apne muqaddar mein
na hoti kis tarah shauda-e-gesu ki jagah sar mein
yahin tak dosti ahl-e-zamana ki hai jo kuchh hai
koi surat bhi phir apni na pahchanega mahshar mein
dikha kar wo gae hain jab se apni zulf shab-gun ko
andhera sa nazar aata hai mujh ko har taraf ghar mein
ye guldasta hamara chhip gaya hai 'rahmati' ab to
rahega yaad-gar apna pas-e-murdan bhi har ghar mein
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 95)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.