kyun munh takun na dida-e-hairat se chah ka
kyun munh takun na dida-e-hairat se chah ka
Kunwar Sukhraj Bahadur ‘Rahmati’
MORE BYKunwar Sukhraj Bahadur ‘Rahmati’
kyuuñ muñh takūñ na dīda-e-hairat se chaah kā
ā.īna rū-e-yār banā hai nigāh kā
jab aap hī ko paas nahīñ rasm-o-rāh kā
kyā fā.eda jo ho bhī irāda nibāh kā
soz-e-darūñ se jal ke hai surma jo merī ḳhaak
aañkh un butoñ kī mujh ko hai gosha panāh kā
yuuñ be-hijāb baam pe aayā na kījiye
qaabū meñ dil rahegā na ik ahl-e-rāh kā
taklīf dast-o-taiġh uThāne se fā.eda
kaafī hai mere qatl ko ḳhanjar nigāh kā
yuuñ justujū-e-yār meñ hai be-qarār dil
bhūlā huā phire koī jis tarah raah kā
begāna ban ke pūchhte haiñ haal 'rahmatī'
tā jis meñ ho irāda na zāhir nibāh kā
kyun munh takun na dida-e-hairat se chah ka
aaina ru-e-yar bana hai nigah ka
jab aap hi ko pas nahin rasm-o-rah ka
kya faeda jo ho bhi irada nibah ka
soz-e-darun se jal ke hai surma jo meri KHak
aankh un buton ki mujh ko hai gosha panah ka
yun be-hijab baam pe aaya na kijiye
qabu mein dil rahega na ek ahl-e-rah ka
taklif dast-o-taigh uThane se faeda
kafi hai mere qatl ko KHanjar nigah ka
yun justuju-e-yar mein hai be-qarar dil
bhula hua phire koi jis tarah rah ka
begana ban ke puchhte hain haal 'rahmati'
ta jis mein ho irada na zahir nibah ka
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 95)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.